Kaisi Ye Jeet?

Bheeni si roshni
Laayi ek nayi subah
Kya vo ek khwaab tha?
Maine jo dekha

Sab kuch kyun maun hai?
Kahan hai vo khushi?
Jinke liye lade the hum
Hue vahi shaheed

Kaisa ye pal hai aaya?
Chaaya hai gam ka saaya

Hai kaisi ye jeet?
Thi kaisi ye jung?
Kuch to sukoon hai
Par bekraar ab bhi ye man
Guzra ye pal
Fir kyun khamoshiyan
Gum hogi khushi
Socha na thak kabhi
Hai kaisi ye jeet?
Hai kaisi ye jeet?

Gumshuda aankhein
Mujhse hai poochti
Kahan vo seher?
Jiski thi humein ummeed
Kho gaye kahin
Jo dil ke the kareeb
Kya chaaha humne?
Aur kya hua naseeb?

Hai kaisi ye jeet?
Thi kaisi ye jung?
Kuch to sukoon hai
Par bekraar ab bhi ye man
Guzra ye pal
Fir kyun khamoshiyan
Gum hogi khushi
Socha na thak kabhi
Hai kaisi ye jeet?

Kaisi ye jeet?
Thi kaisi ye jung?
Kuch to sukoon hai
Par bekraar ab bhi ye man
Guzra ye pal
Fir kyun khamoshiyan
Gum hogi khushi
Socha na thak kabhi
Hai kaisi ye jeet?
Hai kaisi ye jeet?



Credits
Writer(s): Varun Rajput
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link