Bechainiyan

Roko tum mujhko na
Baatein jo hai kehne do
Maane na mera yeh dil aadi ab sehne ko
Wajah sirf ek kaafi
Saath tere rehne ko
Ban ja kinara mujhe
Lehron sa behne do

Main to nahi karta
Fikar zamaane ki
Kar betha hun pyar
Na khudse bahane ki
Nazren jo dekhe kare war Yeh bullet si
Waqt zarurat mujhe parde Hatane ki

Janu main majbooriyan hai Chehre se jhalakti
Maine hi kaha tha tu hai Dikhti alag si
Gaane me jaise ho saaz - Overall lagte ho khaas
Raas aane laga par ratti bhar ghamand nahi

Hasi khushi rehta main
Auro ki zarurat nahi
Saaf chehre dikhte na
Dikhte Wajood hai wahi
Kaisi hai yeh dooriyan
Majbooriyan Haqeekat yehi
Keemti hai mere liye
Mera daulat shohrat yehi

Bechaniyan dil me hai kyun pata
Ankhein bhi hai akhir nam kyun zara
Mujhse jaane kya hui hai khata
Tu bataa

Bechaniyan dil me hai kyun pata
Ankhein bhi hai akhir nam kyun zara
Mujhse jaane kya hui hai khata
Tu bataa

Pyar to hai chota shabd Kayi zyada chahta main
Tu nahi to paas tere
Tasveer me sama jata main
Main bhi sab jaanta or
Manta halaat hai ese
Khali sa tha dikhta Ab lagta abaad sa main

Jaanta main jaankar tu khush na hai Dur hoke
Khudse hi khudme
Sabr hai mujhe jo roke
Tere hi sahare mein ab
Bethta or taakta main
Pyar se woh bhare yaadein Isliye na bhaagta main

Yaadein teri saansein deti tere jo fasane hai
Shant rehkar khush hun main Raatein jo bitane hai
Khone ko main kho du sabkuch pakar tune kya paya hai
Main bhi esa shaks hun kismat deta anjaane me

Dil me baatein jane kyun dabi si
Kehna chahe aankhen ankahi si
Sehna tha jo saansein
Thi ruki si
Kyun ki

Dil se dil tak ki baatein
Hai
Isliye Khicha chala jaata hun main
Warna esa pyar karke kya fayda
Jo dusron ko takleefen de

Bechaniyan dil me hai kyun pata
Ankhein bhi hai akhir nam kyun zara
Mujhse jaane kya hui hai khata
Tu bataa



Credits
Writer(s): Asif Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link