IZHAAR

Yeah
Ravi
This is for you.

Kaie batau kitna pyaar karu tujhe main
Jaise dekhu bas kho jau main tujhi main
Tujhe dekhne ki chahat youn badhti jaaye
Jaise dekhu main khuda ko hi tujhi main

Tuhi Rabb mera tuhi meri jaat hai
Tere bina baaton main na koi baat hai
Alfaaz tere liye to bache nahi hai
Qnki tere baare likhu jo din raat main

Likhe saare panne dil ke kareeb rakhu
Tu jaana jaan le ke mera naseeb hai tu
Gar main sunau tere baare is zamane ko to
Daru is baat se ke tumhe kahi kho hi na doon

Ye zamana afsana maane pyaar ko
Deewana main tere or mera to jahaan bhi tu
Ye deewana gaana likhe izhaar ko
Jaana meri jaan le main tujhpe hi jaan doon

Ye zamana afsana maane pyaar ko
Deewana main tere or mera to jahaan bhi tu
Ye deewana gaana likhe izhaar ko
Jaana meri jaan le main tujhpe hi jaan doon

Tu jo naseeb main to main khushnaseeb hu
Tere bina jaise main badnaseeb hu
Aashiqui kis kaam ki wo jaane jaana
Jis main wo ek tarfa sa pyaar na ho

Bas tujhe khush dekhne ki aarzoo hai
Mere zinda hone ki wajah tu
Mauka maangu ek daffa tere saath ka
Tujhe pyaar beshumaar or bepanah doon main

Chahat bhi tuhi tuhi dil ki tamanna ha
Tere hi saath to jeena or marna hai
Ise bas to yadon main rkh le
Main khush hu mera saath teri yaadon main pal raha hai

Chal raha hai tere saath tera yaar bhi
Dheere-Dheere or badhe mera pyaar bhi
"Ravi" jo bas kalam ka mohtaz tha
Isi ke sahare kar baitha izhaar bhi.



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link