Mol?

Kyu rehta ek hi kaksh mei tu
Kasht mei hu mai bhi
Aisa mujhe meri maa kahe
Kyu kehta khud ko
Nasht hai tu has le tu thoda sa
Ussi se manzil paa sake
Na aa sake samajh mei
Rishtedaaro ko asal mei
Kitne gaano ko bura bulate
Issi wajah se jinme
Shamta na hai samajhne ki
Arth kya tha unn panktiyo ka tabhi unko na sunaate
Aye yeh gaane apne
Inko banane ke liye bhi haa bahane bante
Suna kahaaniyo mei
Humne wo sitaare bante
Jinke begaane bhi kuch shado mei
Hai unke chahne wale bante
Hriday tak pohoche apne
Geet yahi karya mera
Mitro se hai seekhte
Kabhi koi acharya se na
Kyunki ratay uttaro ko
Hota anivarya dena
Kala ki kadar yahape
Hoti koi vidyalaya mei na

Jaana jabse kala pe diya zor hai
Mera kya mol hai mera kya mol hai
Jaana jabse prabavi hue bol hai
Mera kya mol hai mera kya mol hai
Jaana jabse kala pe diya zor hai
Mera kya mol hai mera kya mol hai
Jaana jabse prabavi hue bol hai
Mera kya mol hai mera kya mol hai

Aese to boht se log hai abhi bhi
Jinhe pehchaan na hui hai abhi bhi
Apne mol ki jeevan ki raah pe
Ishwar se maang rahe deepak jala de
Deemak si lagi hai yaha dimaag mei
Bure vichaar hai tabhi jo saath mei
Prashan yahi hai antaraatma kaha pe
Wahi pe milegi jo karya tumhe anand deta
Nivarand aesa yeh jo bhi
Karle wo mukt hoga
Jiska iss khel mei kala ke liye aadar rehta
Wahi ek vyakti hai jo
Kabhi bhi na supt hoga

Jaana jabse kala pe diya zor hai
Mera kya mol hai mera kya mol hai
Jaana jabse prabhavi hue bol hai
Mera kya mol hai mera kya mol hai
Jaana jabse kala pe diya zor hai
Mera kya mol hai mera kya mol hai
Jaana jabse prabhvi hue bol hai
Mera kya mol hai mera kya mol hai



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link