Shraap

Shaitaan toh nhi par
Bhagwan k ghar seh woh gira
Duniya k peeche bhaga
Waada kiya sona chandi heera
Sir k uppar chaat zarur
Chule mein aag lekin
Ghar, parivar jalta sara
Chote uske haath Na koi baat
Dur hote sabse khaas
Diya taufa janm mein maut ka
Sauda khusion ka
Mila choti umar mei
Dukh kya dega
Woh toh appne he de gaye
Kalam seh likhra mei
Jo bhi mujhe mann kare
Size che k joote maati seh woh the lipte
Din jisne sikhaya hoth behtar hote silhe
Sabse paas ko khoya
Bejaan aankh khule bistar peh
Mehsoos karna hasna ya rona
Sab uske saathich ek pal mein he chaldiya
Aaine mei dekhra khudko
Dua sirf ek saans kabul karde
Par aisa na chalta uske darbar mein

Saaf ya kaala jaat ya paat
Koi antr nhi
Majhab k liye maare bhaiko
Koi matlab nhi
Kya horakha yahan
Haste par khushi nhi
Kya hora insaan ko
Dil dhadkta zinda nhi
Dikhe jo asu mere palak peh
Dard sehte kisko sadak peh
Toh mere maaki woh jhalak hei
Falak tak ka raasta
Seedha road seh
Nature seh shaanth
Seekha Gandhi seedha goat se

Dard jaise dhua udta
Zakhmo ko hum pee gaye
Dil k bure na the
Choti umar saham gaye
Kaisa yeh Karz jo kabhi khatam na ho
Zindagi dene waale ko
Yeh sasta ho
Gunegaar haatho mein laga
Uska lagu hai
Cheekta woh insaaf aisa uska
Behta khoon hei
Khudke talaash mein
Shayad khote khudko
Aisa hona naya nhi
Duniya ka yeh dastur hei

Haar maan chuka mei
Shayad likhna aakhri yeh
Lad nhi sakta
Kuch nhi baaki hei
Kora kagaz bhara meine
Abb antim saans ki yeh ginti hei

Mei he shaitaan mei he toota ghar bhi
Mei he karazdar gunegaar bhi
Mei he majhab aur khoon bhi
Bacha na wajood abb
Khudka kaatil mei he



Credits
Writer(s): Abhishek Michael
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link