Sawaal

Ruh meri tham gayi,
dekh ye duniya daari,
logon ki kismat kyun itni buri,
paas kisi ke hai khushiyaan,
to kisi ke paas dukh dardon ka boza,
dekh ye sab mein rone laga hun,
na seh sakta ye dardon ka mara,
kyun ho raha itna bura,
Ye rab tujhse hai Sawaal mera
Ye rab tujhse hai Sawaal mera
sawaal mera, sawaal mera
o... Sawaal Mera

Kayamat ki aankh khul gayi
hahakar ki chingari jal gayi
laashe girna ab band nahi hogi
kayamat ki chingaari insaano ne jala di hai

Aasuon se bahra samandar
Dukh dardon ka pahaad
Musibaton ki baarish
Karni band kaise ab?
Rab tujhse puchne waalon ki kami nahi
Phir bhi tune mushkile hatai nahi
Aise kaise anhoni tune sabk dikhai?
Garib ko garibi se lachaar kar diya
Amiron ko tune paison se bhagwaan bana diya
Diye tune kisi ko bade bade mehel
To kisi ko kyun kiya tune beghar
Amiron ke gar mein bhara tune sona, chandi, aur paisa
To bakiyon ko kyun kiya garibi se lachar aur bhuk se bimar??
(Garibi se lachar aur bhook se bimaar)
Ye duniya waale mangte tujhse dua lekin tu inko kyun taal raha?
kari kyun nahi tune inpe meherbaani amiron jaisi?
Ye rab tujhse hai Sawaal mera
Ye rab tujhse hai Sawaal mera

Aasmano mein lagaye tune khubsoorat chaand-sitare
lekin kyun banaye tune kuch baksoorat chehare?
Pata nahi kya tujhe kya kya sehna padta unko?
Bhedbhaav karne waalonki toli mein jaana padta hai harroj unko
Aisi Kaisi hai ye duniya?
Bhedbhaav karte thakte nahi
Jaat, Paat, Dharma, Rang, Roop mein
Bhedbhavon ka ye sinsila kab tak chalega?
Samanta ka Aanchal kab lehrayega?
Bhedbhaav naam ki gandhi chaddar kab Jalayega?
Ye rab tujhse hai Sawaal mera
Ye rab tujhse hai Sawaal mera
Ye rab tujhse hai Sawaal mera

Aatank phail raha harr din
Maar raha insaan insaan ko kyun?
Bacchhe Budhe Aurate bhi na bakshi inhone
khun se holi khelne lage hai
Maar Kaat inke liye bacchon ka khel hai
Budhe Maa-Baap ko kar besahara inhone maa onki kok kar di hai suni
Insaan ban rahe Haiwaan
Dusre insaan ko rahe kaat
Mar gayi insaniyat ab bhai bhai bhi
kaat rahe ek dujhe ka Gala
Ho rahi khatam mohabbat chand paison ke liye
beta raha maa baap ko maar
Inke saamne ab lag rahe hai jaanvar bhi behtar
Kaat Kaat kha rahe ek dujeko phir bhi pet nahi bharta inka
Ab aurton ko bhi nochne lage hai
Aiyashiyaan karne ladkiyaan utha rahe hai
Aisa kyun ho raha?
Aisa kyun hone de raha hai tu?

Dange fasaton mein maa-baap maar diye jaate hai
Mamata ki leher mangate bacche anath pad jaate hai
Ghar aate bete ki raah dekhne waali maa
in danglon mein in hatyaon mein besahara ho jaati hai
Din raat papa-papa karne waala beta
naukri ke chakkar mein videsh chala jaata hai
Chodkar Akela-Kar Besahara ye beta ghum kyun ho jaata hai?
Dukhonke aashiyaane mein dardonke bistar pe
aankh band kar lete hai budhe maa-baap
Unke bacchhon ko kar anaath wo tere paas upar aate hai
Upar aane ke baad to wo khush rehte hai na?

Ye rab tujhse hai Sawaal mera
Ye rab tujhse hai Sawaal mera
Sawaal mera

Dekh ye sab ab aansu bhi rone lage hai
zaank kar dekhle jara iss duniya mein
tu nahi rok payega apne aansu
bhej de kisi ko aansu pochne sabke
ya phir
Bana de mujhe iss kabil pochne sabke aansu
aur mitane dukh dard harr ek ke
harr ek ke

Karde ab mujh ko mujhi se kahi door
Na seh sakta ye dardonka maara
Ye sab aisa kyun ho raha?
Ye rab tujhse hai Sawaal mera
Ye rab tujhse hai Sawaal mera
Ye rab tujhse hai Sawaal mera



Credits
Writer(s): Anuj
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link