Saadhak

Dhundhein meri aankhein teri woh kawwali
Jo tu gaati thi mere nashe se door bhaagne ko
Chahti rahi tu apne dukh baantne ko
Jaan ne ko, mujhe jaan se maarne ko

Main bhi kya karu chaaron taraf andhera tha
Ajab basera tha, samay tha na vo mera tha
Kaash hoti tu thodi aur bas meri tarah
Karwat ki parli taraf savera tha

Dhundha teri aankhon mein vo Aasma
Jo mila na kahin, mujhe dikha na dikha na
Kaisa marz mera, jo mera tha woh raha na
Mera tu hi thikana

Kya keemat hai tere aur mere iss saath ki
In sab jazbaat ki
Haathon ki lakeerein sapaat, saari taraf se mile dabaav
Bana main dhokhebaaz

Jhaank mere sheeshe mein raakh, ek mirage
Aaja sun mere ghatiya mazaak
Its my B'day, got gifts and a BJ
Truth is UD Boy just feels lost

Kalla hai vo poore se baserey mein
Milna hai toh milna tum akele mein
Isey pata na, ye sab bahana
Isey bacha lena tum

Bebas hai vo baitha hai andhere mein
Sabhi toh hamesha se mazey hi le rahe
Jale zamana, tumne jaana
Hai jo khazana yeh gum
Yeh gum
Hai jo khazana, Hai jo khazana yeh gum

Dhundha teri aankhon mein vo Aasma
Jo mila na kahin, mujhe dikha na dikha na
Kaisa marz mera, jo mera tha woh raha na
Mera tu hi thikana
Dhundha teri aankhon mein vo Aasma
Jo mila na kahin, mujhe dikha na dikha na
Kaisa marz mera, jo mera tha woh raha na
Mera tu hi thikana



Credits
Writer(s): Udbhav Acharya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link