The Rooftop Feel

Saware mene apni zindagi ke hai ye bikhre tukde
Bhare panne tute sapne leke dono aankhein meeche
Kitne niche
Giraye mujhko mere apne
khiche
Tod ke madod ke ye baate zakhmi dil hai bikte

Shor aur sharaba har kone me h dekho kitne
Dur chala jau inse lagu apne gaane likhne
Bethu mai kinaro pe to lehre ye kadmo ko chume
Aas na rakhu mai ye to jitne geet h saare bikne

Waqt nhi
Hai koi waqt nhi
Rakt bahi
Kalam hai rakt bhari
Ha shaq sahi
Anjaan hai shaqs kai
Bas sach hai taboot mrigtrishna hai takht sabhi

Waqt kai guzare andhero me bethe jo mene
Sochu duniyadari ab mere na kabhi palle padne
Bikne lage bazaro me do kori me kitne sapne
Sunte na awaaze meri cheekhein ye dabake rakhdu mai

Cheekhein ye dabale rakhdu mai

Ma bhi kehti chod de ye duniya hai harami
Inhe farak na pade tu bas likh apni kahani
Jo ho teri zubaani
Uthe lafzo ki tsunami
Apne gaano me sunani
Mai bhi chala fir ruka ni

Kyuki
Kahani mai kaha ni vo leke fira kaha ni
Mai hu vo rawa ni jo rawani se bhi rawa ni
Lagti h begaani, mujhko saansein ab chalani
Mai to chor deta dam par ye syaahi bhi na maani

Ab sawaal kai
Mai chup rhu deta mai jawaab nai
Jo bhi kehna cahu sunti bs kitaab bhai
Kore kagazo ki kitni h mashale bhi jalai mene rakhi na hisaab bhai

Saaf bhai
Rakhe mene apne h karam
Na paale duniya bharam.
Jo baate apno me dharam
Aur khau ek hi ye kasam
Gaane likhta jau jbtk na ho meri saansein ye khtam

Gaane likhta jau jbtk na ho meri saansein ye khtam



Credits
Writer(s): Taz Ahmed
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link