Bhatkan

Ek din mai kahi se wapas aa raha tha
Aur bike par baithe baithe hi pata nahi
Ek dum se mai rone laga
Don't know why
Mai kaha ka waasi hoon
Kya mai isliye yaha par hoon
Kyunki mai sahsi hoon
Mai yaha par hokar bhi
Ban paaya na yaha ka waasi hoon
Mai badti jalan aur balgam waali khaansi hoon
Na mai sahsi hoon na yaha ka waasi hoon
Mai gagan mein ghul kar banta kyun na baarish hoon
Kasam se mai yaha ka na waaris hoon
Mai badti jalan aur balgam waali khaansi hoon
Mai yaha ka na waasi hoon
Na hi mai shoor na hi mai sahsi hoon
Mai yaha ka na waasi hoon
Surkh laal nasein kya kehti karne ko
Kuch laal nason ko dheere dheere marne do
Kaabu karke rakhne ko
Pinjre ka hona laazmi hai
Nason ka pinjra aadmi hai
Nasein darshati saadgi hai
Ek lay mein chalti na karti awaargi hai
Pinjra nason ka aadmi hai
Saadgi bhari nason se karta awaargi hai
Pinjra har dam sochein kyun woh pesh huya
Pinjra har dam sochein
Kyun har gulaab banta suaa
Pinjra har dam sochein
Kyun woh laal surkh nason ka pinjar hai
Kyun uska naam aadmi hai
Usme kyu na nason jaisi saadgi hai
Pinjar nason se labalab bharein jo
Unka maksad kya bhatkan aur awaargi hai
Mera maksad kya bhatkan aur awaargi hai



Credits
Writer(s): Bharat Arora
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link