Tamanna

Kyu yaad karu
Roz kyu mein maru
Teri baatein karu
Kyu tadpaati h tu

Kra na tujhe yaad aaisi koi raat nahi
Likhe afsaane hum krte unki baat nahi
Badle sirf hum dono badle woh jasbaat nahi
Aaya tha mein phuchne diya tune jawab nahi

Kher

Ab woh baatein na
Woh baatein hai purani
Ab woh yaad na
Woh yaad hai kahani
Ab sath na
Woh sath tha jo nibhana
Ab hak na
Woh hak tha jo hamara

Zindagi na meri zindagi thi khauf
Aayi gale lagi you tu hi thi last hope
Ab gayi tu chdke toh dikhe bas maut
Ab chahiye na sath koi dard bna dost

Sath koini maine tujhe tha paya
Raha koi nahi kaali raatein kala saya
Ek tarfa humne rishta jo nibhaya
Tujhko hi khoke maine tujhko tha paya

Kyu yaad karu
Roz kyu mein maru
Teri baatein karu
Kyu tadpaati h tu

Mujhe mein hi mai kahi kho gaya hoon
Aankhen na nam dilse rogya hoon
Mudke toh dekh mein aaj bhi vahi
Tere bina maine jeena seekha hi nahi

Kya kara maine pyaar yehi mera kasoor
Tu hi meri chahat tu hi mera fitoor
Ja rhi Tu mein deta rha awaaz
Tune mudke na dekha jbse likhu alfaaz

Jaana meri tamanna hai tu
Tutta mera ek sapna hai tu

Jaana meri tamanna hai tu
Tutta mera ek sapna hai tu



Credits
Writer(s): Hunny Vyas
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link