Lost Flights

Kaafir hai soch ye, behtar thi kal
Kehne ko sab hai, par khoje nazar
Dafnaaye khwaab ye, jo khelein jazbaat se
Ruhani uss raat ka, hai ye safar

Hai ye mukaddar, ya lakerein hain be asar
Khule panne uss kitaab ke jo hai na idhar
Aur maine likhdi kahani tere noor ki siyaahi se
Bhulani saari raatein ab jo tu na idhar

Mein bhi, thoda mashroof tha, hona mashoor tha
Jeene ko pal sab par sir mai fitoor tha
Beh na jaayein, ye jo pal barsaat mai, halat the galat
Par ye hona zaroor tha

Khuda ki thi rehmat mujhpe, tujhme guroor tha
Sochu sach tha wo sab ya bas tera suroor tha
Ya bas jhoot ke sahare, the wo lamhe guzaare
Aaj tanha hai shaam to ye hona mehsoos tha

Laazmi
Khat the wo kuch khaas ya bas, kaagazi
Likhe aaj maine haath se ye khwaab jo mukaam se neelaam hoke dete na ab saadgi

Aaj bhi chuua maine jab uss ateet ko
Mile ghaav hain hazaar par na marham fakeer ko
Toote khwaab bhi hain aaj par na hasrat lakeer ko
Bole aas paas wale bawa kisse ko dheel ko

Par bawa khoya hai khayalon mai bohot
Bhari baarish mai, sawaalon mai bohot
Aane jaane waalo ki misaalon mai bohot
Khush hai wo aaj, par, malaalon mai bohot

Soche raat hai ya, andheri chaadar hai
Aankhein khuli samjha tab, kaale baadal the
Par kya khauf usse bheegne ka
Wo na bheegta jo, khud hi saagar hai



Credits
Writer(s): Himanshu Doi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link