Ehsaas (Intro)

Kehte hain zindagi me kabhi kabhi kuch pal yun aate hain
Jab hamara man ekdum khaamosh sa ho jata hai
Roshni ki koi bhi kiran
Gham ke andhere ko bhed nahi paati

Umeed bhari aankhen
Bas ek aasre ki talaash me yun hi bheeg jati hai
Ki pata hi nahi chalta
Zindagi ke un alag alag rangon me piroye hue beshumar jazbaaton
Ke tarch par chalte hum aur hamara saaya
Ye kahani sirf itni si hai
Ki hume phir bhi chalna hai
Chaahe ek jhooti muskaan
Ya khokhli umeed mile

Jis tarah indardhanush bhi aasmaan pe
Khushiyon ke saath rang bikherta hai
Yeh jaan ke bhi ki nuska wajood bas kuch hi palon ka hai
Usi tarah un sabhi logon ke liye yeh humaari ek choti si pahal hai
Abhivyakti

Abhivyakti - Ek Ehsaas Ek Ummeed



Credits
Writer(s): Prabhav Gupta
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link