Music Ke Liye

Music meri naso mai
Music mera nasha hai
Music ke liye jeera hoon
Music mera mazaa hai

Din raat subah shaam
Chaahe koi bhi ho kaam
Mai sunta rehta gaane
Aur bunta rehta khwaab
Karna sapno ko saakar
Aakar jinka itna bada
Jitna brahmand
Meri mehnat pe yaaken mujhe
Koi toh tarkeeb sujhe
Lejaye jo manzil ke kareeb mujhe
Khokhli ye duniya lagti ajeeb mujhe
Bachpan se gehra mera naata rha
Speakero se
Music is one love
Music mera healer hai
Kabhi kabhi lagta hai
Isme hai shakti koi
Jo mujhe har dafa
Apni aur le aati
Hasati rulati
Mujhe jeena sakti
Iske bina meri puri duniya khaali
Pehle tha ye shaunk mera
Fir mujhe mauka mila
Mic thama hath mai
Stage pe paer mere kaapre
Fir bhi sama diya bandh
Pura crowd sar ae aam
Nacha mere sath mai
Uss din sukoon mila
Mere dil ko junoon mila
Uss waqt maine than liya
Maksad music ko maan liya

Dil mai hai darr mere
Thodi se bechaini bhi hai
Karna hai bohot kuch
Tension thodi rehti hai
Jitni kamayi ki hai
Music pe lagayi maine
Maa meri kehti hai
Sehat pe tu dhyan de
Soye bina kaam nhi chalta yaha
Maa samay bohot kamm hai
Aur kaam bohot jyada
Mera pakka irada
Mere dil ne hai thana
Mujhe jeetna zamana
Naa banana koi bahana
Dheere dheere yunhi mai badhta jaun
Aur khwaab saare poore karta jaun
Mai rahunga naa peeche
Chaahe kismat jitna kheeche
Mujhe farq nahi padta
Kaisi hatho ki lakeere meri
Badal dunga palat dunga
Galtiyo se sabak lunga
Ek din haan
Dhruv taare sa chamkunga

Khushi hogi uss din
Manzil paa lunga jis din
Tab tak yunhi bas
Katt Te rahe din



Credits
Writer(s): D3 Dhruv
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link