Banke Dhuan Main Udd Raha

Jo sang tha sab gujra
Main khud me raha thahra
Andekha anjana
Hoon shor me ek chehra

Jo kal tha wo na ab hai
Jo ab hai wahi sab hai
Kabhi jagmag kabhi dagmag
Zindagi bhi ye ajab hai

Banke dhuan main udd rha
Jaana kaha jaanu nahi
Ghul ke hawa me beh rha
Kuch or ab chaahoo nahi

Banke dhuan main udd rha
Jaana kaha jaanu na
Ghul ke hawa me beh rha
Kuch or ab chaahoo na

Mera aashiya hai kis shahar
Le jaayega kaha yeh safar
Kahi honge rang har saaye me
Jaha har ghadi hogi sahar

Jaha jal ke khaak ho jaye, ehsaas sare dar ke
Jaha baarishein dho jaaye, Jazbaat saare gam ke

Kabhi mehke, kabhi chehke
Zindagi ye kabhi behke
Kabhi suljhi kabhi uljhi
Sholon si kabhi dehke

Kabhi gaaye ye tarane
Kabhi karti ye bahane
Kabhi gumsum si hoke
Bas dhunde ye thikane

Banke dhuan main udd raha
Jaana kaha jaanu nahi
Ghul ke hawa me beh raha
Kuch or ab chaahoo nahi

Banke dhuan main udd raha
Jaana kaha jaanu na
Ghul ke hawa me beh raha
Kuch or ab chaahoo na



Credits
Writer(s): Pravesh Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link