Qaum ki Awaz (Urdu Rap)

Alfaaz nahi yeh sirf, puri qoum ki awaz Hai jawaz, is halat ka hamari kiske
paas
Anjaam nahi yeh abi yeh hai Shruwaat Rakho thori umeed sun rahe barson se yeh baat
Par umeed tou na badle gi is qoum k halaat

Pai pai pe Hoti jahan zulm ki barsaat hai
Jurm b Har jaga, bas naam ka insaaf Bekasur Qaid hai aur mujrim azad
Agar chalte Rahe aise, hongay sirf barbaad

Na Aayegi subha na kategi siyah raat Us Rab ke tou aagay na he shakal na he zaat
Phir karte hein farq kyun, hamari kya auqaat
Khauf dilon mein ke na sach ka koi sath de

Insaaf k rakhwale, bhi khudi sach ko maat den
Karta jo saaf baat hai, usi se ikhtilaaf hai
Iss baat ko jaan ke hua yeh inkishaf hai
Bahar se mazhabi, andar se koi saaf nahi

Karte gunah sabhi, koi aiteraaf nahi
Mukhota pehente Hein, koi benaqaab nahin
Lakh sawal hein par koi ik jawab nahi
Dekha tha iqbal ne iss din ke Liay khawaab nahin

Quaid ki wo mehnat karo aise kharab nahin
Leke jaan kisi ki milne wala sawaab nahi
Qatal jaiz tou, haraam phir sharaab nahin
Fakhar se hein kehte, mulk jang ko hai tayyar

Par haqeeqat tou yeh ke adhi qoum berozgar
Kon bekasur hai ya kon kasurwaar
Aur kis ke jurm mein janay kon giraftaar

Hun bezaar rahana jaye is zulm k jal mein
Jahan insaaf bhi ho tou dande k dam pe
Kis qisam ke yeh khoon k dange
Naam pe mazhab ke marte hein bande Hein haraam dhande daag bhare kirdaar hein
Apni is halat ke hum khud he zimedaar hein

80 feesad mulk jab jahalat ka shikar hai
Meri puri qoum se bas itni si pukar hai Uthao qalam jahalat ki girado diwaar yeh
Khol lo kitaab aur phenkdo hathyaar yeh

Uthao awaz dedo tum iss khamoshi maar
Hojaen hazar tou awaz banti lalkar hai
Yeh tha sird aik safa, rehti puri qitaab hai

Gheebat subha sham nafrat be hisaab hai
Sochte phir hum aata kyun hum pe azaab hai
Sab ban gaye haiwan aur insaniyat nayaab hai



Credits
Writer(s): Sarmad Rao
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link