Darbar Me Jana Zahra Ka

Wo haq china be deeno ne jo asl me haq tha zahra ka
Tadpaya musalsal baade nabi mushkil kia jeena zahra ka
Machli ka nikalna paani se aur ghar se nikalna zahra ka
Machli ke zabihe jaisa tha darbar me jana zahra ka

Ik baaghe fidak hi manga tha wo bhi na dia ye zulm kia
Tahreer dikhai zahra ne zalim ne use bhi jhutlaya
Sab jhoothi daleele pesh ki aur rad kar dia dawa zahra ka

Nabiyo ki wirasat hoti hai ye baat batai zalim ko
Quraan ki ayat parh ke bhi zahra ne sunai zalim ko
Zalim ne nazar andaz kia darbar me khutba zahra ka

Quraan ki ayat sun ke bhi zahra ko unka haq na dia
Haqqe zahra ko ghasb kia ghasib ne ye andher kia
Kuch bhi na dia us me se unhe jo baagh tha sara zahra ka

Taazeem ko jiski uthte the sardare nabi mahboobe khuda
Darbar me wo bibi thi khadi aur zalim takht pa baitha tha
Seerat wo nabi ki bhul gaya aur dil bhi dukhaya zahra ka

Har lafz tha saccha zahra ka be deen tha aur jhootha tha laeen
Mahroom kia haq se unko aur koi gawahi maani nahi
Is zulm se har dam shamo sahar dil tadpa humesha zahra ka

Haq mangne apna masooma darbar gai jab baade nabi
Baitha ya na izzat se unko zalim ne koi taazeem na ki
Husnain ne dekha rote huye darbar se aana zahra ka

Darbar se khali haath gai jab apne ghar wapas zahra
Husnain se poocha kya hai sabab amma ki is bechaini ka
Zainab ko yahee thi fikr hai kyu utra hua chehra zahra ka

Mahdi o raza mazhar unse naraz thi itni binte nabi
Ta umr kabhi masooma ne in be deeno se baat na ki
In sang dilo ke zulm se tha dil para para zahra ka



Credits
Writer(s): Mazhar Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link