Manthan

Dil nahi mera paet, kamane bheje
Mann ni mane marzi, bahane feke
Chahato pe Moti charbi, naa aane dete
Sapno mein aati ladki tarane leke

Andhera, chale kaam ni ginane bethe
Mrityu ko hum sote sirhane leke
Iss kareeb kisi aur ko ni aane dete
Dekha kal dikha chhal sab zamane dekhe
Khuli aankh, mila dosh, ye zubani tikhi
Lekin andar kabhi baat ye samani ni thi
Kya andaaz kisi ko kya kahani biti
Ussi seekh se, kahaniya sunani sikhi
Zimmedar bete teri hi khata hai
Teri hi
Uss paar janleva kuch ghata hai
Tervi
Agyaat bethe kya tumhe pata hai
Shayad ni
Vardaan tera agyanta hai
Jhuka sheesh

O rahi raha tujhe kya khabar hai
Pata chala sootro se tu toh thera besabar hai
Chahte kyu bhagna yahi toh tumhara ghar hai
Chahte ho jisko marna woh har janam amar hai

Ye deewane shabdo ke inka naam jan-gadh
Dohralo varn mala har ek swar vyanjan
Kuch vishaille prani chahenge ant mann-mann
Lekin tumhe pyaas amrit ki, samudra manthan
Saya dhoke ka aur nashe ki chao
Kandhe bhari isse kehte dabaav
Chahe jitna piyo bharte nahi ghav
Seekho tairna kyuki tooti hai naav

Mera dil pada kala irade hinsak
Pala pade na kisi se npasand tumsab
Mere daire me ni chaiye koi shubh chintak
Kaatne wala gale 60 abhi hai 59

Khuli aankh, mila dosh, ye zubani tikhi
Lekin andar kabhi baat ye samani ni thi
Kya andaaz kisi ko kya kahani biti
Ussi seekh se, kahaniya sunani sikhi
Sarv roop sampoorn insaan lobhi
Karte tyaag tabhi kehlate mahaan jobhi
Mile fal jab bhi karta koi kaam, bhogi
Kaam karu jab bhi deta pura dhyaan, yogi



Credits
Writer(s): Shashank Dwivedi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link