Falak Pe

Ya Mola (4 times)

falak pe chaand taare bhi teri naaten sunate hain
jo sun ke anbia saare falak pe muskuratay hain
sabhi nazrain jhukate hain
khuda ke aasmanon pe Muhammad(p.b.u.h) aisay aate hain

baraa taareek manzar tha
jahal me dooba her dil tha
nah koi shammaa roshan thi
nah rasta tha na rahber tha
jahaan na kuchh sujhayi de
jahal bhi haqq dikhayi de
Wo basti kaabe ki to thi
magar na rabb dikhayi de
jahaan na rab dikhayi de
wahaan noor-e-khuda aye
keh abb tak jagmagaate hain

woh taizee bayhisaab ki
baraq jayse buraaq ki
keh pal me aasmanon me
sawwaari thi janaab ki
koyi paiker he noor ka
sufer krta hay door ka
khuda bhi muntazir he aaj
woh aalam hay noor ka
btaoon kia rasool(p.b.u.h) ka
yahaan ik pal bhi na guzzra
wahaan saddiyaan bitaate hain

ya muhammad(p.b.u.h) mustafa aaye bahaar aayi yahaan
iss chaman baynoor ko kr kay gye he gulsitaan
aor phir aal-e-nabi ne day dia isko dawaam
ta abed hota rahay ga zikkr-e-mola aor khuda



Credits
Writer(s): Tahir Abbas
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link