Besabar

Kaafi mein thakke
Lagta ki zindagi aake atak gayi
Mein maangu tarakki
Wo chaahte rukaane aur wo bhi bhadakke
Mein khada zamaane ke dar pe
Poochhu mein sabko ki "jaau kidhar mein?"
Wo bole "sambhalke!"
Par saale ye Sabhi toh jeete hai darr mein
1,2,3,4,5
Gine chune logo ka hi haath
Milaana chaahta, kehne kya hi baat
Aur Baaki saare naache bas baraat mein
Lutf uthaana, muft ka khaana, Bajta gaana
Flow chabaana, khud banaana, kyu uthaana?
Jab kamaana, sabko khaana
Khul ke bataaya toh tum kyu ravaana haan?
Behti nadi mein ho haath geela
Dekha tera poora kaafila
Maafi laayak lage teri haalatein toh jaake karunga mein dakhila
Akela baaki jo poochega kya mila?
Bechega aatma, kaafi laga tujhe daam?
Jo bhi mein chhoota wo sone ki khaan!
Sar mein jab pathhar toh sabkuchh chadhan
Wo kehte shaitaan
Par bachpan se abhi wo matlab badla
Kehte tu agla
Par mein toh kal ki ummeedon pe jeeta nai hi
Tabhi sambla
Sambhaalenge kaise
Jo saamne sach usko taalenge kaise
Jab aate hai paise
Toh ghar aur gaadi,
Na kala pate pe
Na behte wo lay pe
Hum bole khule mein
Wo gaaenge gaane
Jaise cheekhe "jai" pe
Waise free par mehenge
Khada keeper hai be
Fir bhi maare gende
Jo hoga dekhenge!

We interrupt this programme to bring you a special report

Jo kehna chaahta wo kehna paaya mein kyu?
Badalte mann ko mein jaake fir kya hi kahu?
Mein sochu ke tum toh aaj bhi thode

Besabar, Bekhabar
Besabar, Bekhabar
Besabar, Bekhabar
Besabar, Bekhabar

Mein thoda sa besabar
Mein bekhabar
Ke gaane ke bass par
Jo khudkar
Mein lautkar
Aaya ghar
Toh samajh na paaya gaane hi matlab

Toh kiya meine bedakhal
Jo panno par
Haan sochkar
Bane jo ghar
Kyu ke agar
Na hai sabar
Na hai kadar
Toh boldu kuchh bhi
Kya farak?

Toh ho jaana hype!
Meine bhi pakda jabh mic
Bana messenger mein hike!
Jhooti kahaaniyaan Psych!

Toh ho jaana hype!
Meine bhi pakda jabh mic
Bana messenger mein hike!
Jhooti kahaaniyaan Psych!

(Psych, psych, psych, psych, psych.)

Khokhle bol
Doghle mol
Khulenge raaz ab
Ye paani se bol
Bahenge jab saamne
Todu mirage ab
Hu khushmizaaj, par hai aitraaz toh karu Kabul
Ki hoti jab sabse bhool, par kabse noor hone lagi choor?
Jab kala ho kaam tab!
Sochu mein kaisa guroor jab tum na mashhoor?
Par hum bhi kaha?
Par baje jab sheher se door, tabh aana zaroor
Hum denge gavah
Ke haathon mein daaru, aur Aankhon mein aasu
Leke Saare karenge mosh pit
Likhke bars, I'm raising the bar,
Aur chalta alag jaise kiya ho CrossFit
I don't talk shit
Badi baatein
Par aukaad mein
Hum bhi jaante
Ki jab baadmein
Tum jabhi ungli ughaado
Toh hum bhi toh ungli uthaade!

Tum karoge shakk
Ye hai mera waqt
Hum gaano mein de de javaab
Na kare dikhaava par
Par mera ye sach hum aake dikhaade



Credits
Writer(s): Yashraj Mehra, Karan Adlakha
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link