Dad Ka Track

Gaana itna tagda jaise papa ki har baat hai
Yaad hai, har pal wo saath hai par dikhte na wo saamne
Har pal yaadein har lamhe yaad
Har jagah saath
Nanha tha rahi, papa ka sipaahi hu
Janta na papa ko fikar na kar
Beta gaane ko sunle tu
Seekhne mein der par dusrust kia
Papa guzargaye dharti ne sukh dia
18 Umar par pehla din dharti pe
Dekhne ke baad maine bohot uff uff kia
Tagda ye gaana, papa ki yaado sa
Shayar aur chef, tha khudpe bharosa sa
Aakhir mein shuru, rana ka dhaba
Khana paroske wo sukh mein nikallia

Choori thi haath mein diya beta pyaaz mein
Shaukeen tha chef shayar tha raat mein
Guzar gaya wo par milta hai khwaab mein
Delhi ye punjab, london se nagpur
Naam kamake, turant ye nikalgaya
Janma fakir zyada paisa na dekha
Jab aaya paisa, ye tasvir mein saath aaya
Marke bhi ghar mein wo swad laaya
Kehta tha waqt aayega mera mai tang aaya
Dunia thi dekhli, nagpur se shirdi
Choti si khushia thi, hasta rang failata
Chalta jaha, sab muskuraate the
Bolte hai Rana bhai mehfil sajaate the
Bullet aur body, rambo ka poster
150 Kilo se zyada uthaate the
Fir pehli baar mile mummy se
Thoda dil pighla, kahani shuru thi ye
Roz hua milna achanak judaai
Fir huyi shaadi, janma mai dharti pe
Bohot jiya dheere dheere teen ka
Casette sunake kamal kia mummy ne
Aaj bana rapper hu, sabme anokha
Tareef na meri, maa paa ki karra hoon

Gaana itna tagda jaise papa ki har baat hai
Yaad hai, har pal saath hai dikhte na par saamne
Har pal yaadein, har lamhe yaad
Har jagah saath
Nanha tha rahi, papa ka sipaahi hu
Janta na papa ko, fikar na kar
Ye gaana samajle tu
Seekhne mein der par dusrust kia
Papa guzargaye, dharti ne sukh dia
18 Umar par pehla din dharti pe
Dekhne ke baad maine bohot uff uff kia
Tagda ye gaana, papa ki yaado sa
Shayar aur chef, tha khudpe bharosa sa
Aakhir mein shuru rana dhaba
Khana paroske, sukh mein nikallia

Lambi ye daastan, 2500 kamake guzaarta
Fir khola dhaba, apno ka waar tha
London mein cheff 2 saalo ke baad tha
Aaya wo wapas, shuru kia kheti
Kaam nahi bana fir berozgari thi
Din fir wo aaya, khatam shuru pe
Firse tha dhaaba, par maula ki godh mein
Hone uchaa naam laga, papa ka kaam jama
Dil laga, kitchen se khana, fir khatiya pe sar jhuka, mahino mein sab badla
Haan Fir, mausam tha thand aaya
Khareedi pasand ki car, kaali waali scorpio mein
Aakhri fir raat
Guzarne ne se pehle do dum liye saath
Papa the dost mere, bhagwan ab jaan
Bhai behena videsh mein,chote ye sabse the
Aatmik vichar leke, haskar guzaarte the, har subah shaam
Bhole se baba the gussa dilana na
Liye beta pange hai bohoto ne
Jeet hui unki, mukt hai wo praano se
Mukt ab unn waado se, jhute bahano se
Dharti se

Gaana itna tagda jaise papa ki har baat hai
Yaad hai, har pal wo saath hai par dikhte na wo saamne
Har pal yaadein, har lamhe yaad
Har jagah saath
Nanha tha rahi, papa ka sipaahi hu
Janta na papa ko, fikar na kar
Beta gaane ko sunle tu
Seekhne mein der par dusrust kia
Papa guzargaye, dharti ne sukh dia
18 Umar par pehla din dharti pe
Dekhne ke baad maine bohot uff uff kia
Tagda ye gaana, papa ki yaado sa
Shayar aur chef, tha khudpe bharosa sa
Aakhir mein shuru, rana ka dhaba
Khana paroske wo sukh mein nikallia



Credits
Writer(s): Aniesh Rana
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link