Omnicide (feat. Acent)

Ek kavi ke kuch vichaar prastut hai aaj saamne
Likhne baitha jab panne par uske tab the haath kaanp gaye
Ishwar Allah aaye sapne me jinko kuch hai Ram maantey
Puche taaro se zada bhatki roohien kyu aasmaan me
Insaan aakhiri dharti pe tu baaki hai gaayab kaise?
Mere liye ek samaan sab fir bane vo nyayak kaise?
Bezubaano ki aazadi pe bediya daal baithey!
Aagman ye Kalki yug ka pehley nischit samay se

Maar Kaat chaaro aur Maar kaat
Bandua uska baap to nanhi kalayi pe kyu hai chaap
Maar Kaat chaaro aur Maar kaat
Zameer bech baithe log, shaitan rakha mann me chaap

Sakta mai kar bhi kya kavi hu bas likhta jau
Satte me ghar bika ab pariwar ko kya khilau?
Satta me aa tika ab desh ko kaise jalau?
Yaun Kuntha me baitha kis bachi se mai hawas mitau
Kattar hindu kaatu Mullo ko jisne hai Gau maa maari
Par khata murga kyuki poshan usme hai laabh kaari
Waise to mai vrat rakhta puri ke puri 9 Navratri
Asal me hu karta na par sochi meri bhi Balatkaari

Maar Kaat chaaro aur Maar Kaat
Ajj bhi uthata hath biwi pe bina baat
Maar Kaat chaaro aur Maar kaat
Mar chuka imaan bas bachi zinda laash

Ha beta mai Neta ka to dushmaani mujhse na rakhna
Khhon nai lagega warna lagegi sadak durghatna
Paisa hi maalik kaatu gala baap ya bhai ka bhi
Aur roka nashe se to Maa tujhko bhi padega Marna!
Maa ne bola nashe nahi karega zindaa hu mai jab tak
Uthaya patthar maine sidha maara Maa ke sar par
Hui lahu luhan vo, Khoon tapka tha sir se tap tap
Aya jab tak hosh mujhe der ho chuki thi kaafi tab tak

Maar Kaat chaaro aur Maar Kaat
Maa ko bhi na bakshu agar uthaye mujhpe haath
Maar Kaat chaaro aur Maar Kaat
Kal tha kya mai? Kalse kya mai banchuka hu ajj

Aakhiri Insaan kyuki mai sochu insaaniyat ka
Murda ghume shareer bhula astitva insaan hi apna
Aakhiri Insaan kyuki mai sochu insaaniyat ka
Murda ghume shareer bhula astitva insaan hi apna



Credits
Writer(s): Aryan Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link