Goat Flow

Dete woh hate par ruka nai mai
Har dhokaybaz shaqs ko bhula nahi mai
Apne andar k shayar ko khoya nahi mai
Dard mila mujhe par kabhi roya nahi mai
Khuab mere toot na jaaen tabhi soya nai mai
Ghaltiyon se seekha sabak bas dhoraya nai mai
Chotay khai dil par muskuraya hi mai
Kabhi kisi ka bhi haq cheen k khaaya ni mai

I'm on my grind and I shine like superstar
Ain't no wastin time got my eyes on a bigger prize
Never gonna stop always aim to the bigger spot
Urdu rap ka baap tera jaake kisi aur k chaat
Hum nahi aate easy har beat pe machay bawaal
Jidar bhi hum bajay us jaga se milay humay pyar
Day and night motive mera rehta bas hustle hard

Kata Boht tough time kiya nai sawal mai ne
Khud se bana strong idhar rehta ni koi kisi ka
Nai badla mai ne track aj bhi focus mera sharp
Rehta jese 8x scope seeda bheje pe shot
Apun khelte nahi games re tu bach k hum se
Always rehte haq pe aur haq pe ladte
Ye bachy aj kal mere sar pe charte
Diya fuck ni kisi ko tabhi itne jalte
Music kya hi de ga tujhe ye sab puchte mujhe se
Mere hunar ki ahmeeyat teko aai gi
ruk k
Mere zindagi mai kya chale inhe malum ni kuch hai
Itne saal kara kaam aj bhi khada mai khud se

Qalam ye khol du mere qala zor
Na inke wehmo gumaan mai kidar betha hu soch tu
Ganay banata mai par na kabi bechi ye soul
Mashoor nahi phir bhi ganne bajay ye roz
Kafi time se mai kara hustle bani ye dost
Baees saal ka mai, rakho in se aage ki soch
Sound on music k nashay me bethy madhosh
Me microphone ko jala du when I got in my zone
Humesha laday haq pe baat shuru wohi karte
Waqif hu inki rag se tabhi na deta fuck
Jo bhiray mujhe woh jaante kamptay jab mai samnay
Halaq mai phasay jaan ye jabhi aate hum phaarte
Kala ye sab pehchaante dilon me bassay art ye
Fans jo mere khaas woh fans nahi apne bhai hai
Zindagi na ye asaan par bharosa uski zaat pe
Khaak se bana khaas mai sabar se lete kaam
Safar karte hum aj bhi rakhy vision clear
Soch ye azad likhy jazbaat ye bol mere nayab hai ek shayar ka khaab
Kya tujhe malum Marna chata woh is kala k sath
Rooh se hai rooh ka milaap jisam toh bikte hai amm
Haqeeqat se sab anjaan matlabi saare yaha
Koi aata na kisi kaam khuda hai mera gawa
Kabhi na maana mai haar cuz I believe in this art



Credits
Writer(s): Khan Hamza
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link