Ae Mere Watan Ke Logon

Ae mere watan ke logon
Tum khub laga lo naara
Yeh shubh din hai hum sab kaa
Lehra lo tiranga pyaara

Par mat bhulo seema par
Veeron ne hai pran gawaayen
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Jo laut ke ghar naa aaye
Jo laut ke ghar naa aaye

Ae mere watan ke logon
Zara aankh me bhar lo paani
Jo shaheed huye hain unki
Zara yaad karo kurbani

Aye mere watan ke logon
Zara aankh me bhar lo paani
Jo shaheed huye hain unki
Zara yaad karo kurbani

Tum bhool na jao unko
Isliye suno ye kahaani
Jo shaheed huye hain unki
Zara yaad karo kurbani

Jab ghaayal huwa himalaya
Khatre me padi azadi
Jab tak thi saans lade woh
Phir apni laash bicha di

Sangeen pe dhar kar maatha
So gaye amar balidani
Jo shaheed huye hain unki
Zara yaad karo kurbani!

Thi khoon se lath-path kaaya
Phir bhi bandook uthake
Dus-dus ko ek ne maara
Phir gir gaye hosh gawaan ke

Jab ant samay aaya to.
Jab ant samay aaya to
Keh gaye ke ab marte hain
Khush rehna desh ke pyaaron.
Khush rehna desh ke pyaaron
Ab hum to safar karte hai
Ab hum to safar karte hai

Kya log the wo deewane
Kya log the wo abhimani
Jo shaheed huye hain unki
Zara yaad karo kurbani

Tum bhool na jao unko
Isliye kahi ye kahaani
Jo shaheed huye hain unki
Zara yaad karo kurbani!

Jai Hind Jai Hind Jai Hind Ki Sena
Jai Hind Jai Hind Jai Hind Ki Sena

Jai Hind Jai Hind Jai Hind
Jai Hind Jai Hind!



Credits
Writer(s): Kavi Pradeep, C. Ramchandra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link