Dua

Tu mera nahi
Par naah jaane kyu
Tujhko khone se darr lagta hai

Tu naah dekhe
Jis din mujhko
Kisi cheez me na dil lagta hai

Mujhe dard hota hai kitna
Kaise tujhko batau
Tute dil ki avaaz yeh kaise
Tujh tak pohochau
Teri yaad me aise rog lage
Naah hasstey naah roo paatey
Toote dil ki aavaz kisi ko
Batlaa kyu naah paatey

Jo bhi waade
Naah nibhaaye tumne
Unko yaad karke rota reheta hu

Jo bhi lamhe
Saath me thy bitaaye
Unko yaad kar rabb se me keheta hu

Lautade mera mujhe waqt vahi
Jisme thi khushi naah koi nami
Har waqt vo mere paas thi
Naah gilaa naah koi barsaat thi
Harr waqt ussey milne ki
Mere dil ko fariyaad thi

Laakho ki iss bheed me
Teri aas lagaye betha mera dil

Aansoo yeh sookhe naah jab tak
Ankho ko tu jaaye naah mil

Hatho ki lakeero ka yeh khel bhi
Ajeeb bahot hai naah

Qismat se thy hum miley
Qismat se he bichad gaye do dil

Mushkil se ussey bhulaya
Par yaad aa he hai jaati
Mere dil ki inn deevaro par
Daraar aa he hai jaati
Jitna bhi nafrat karu unko
Kambakht lavz naah maane
Naah jaane lavzo se unke liye
Kyu Dua he nikal aati

Jitne waade
Karke tu mukar gayi hai
Toh koi baat nhi meri jaan roothne ki
Tujh jaise toh
Takraaye bahot hai mujhse
Ab dil ko aadat si hai tootne ki

Aaj pata laga
Sach me hai mujhe
Yeh dard iss inkaar ka
Bada dard hota hai sach me
Jo bhi shikaar hota iss pyar ka

Aasaan bahot hai pyar karnaa
Mushkil hai ussey bhulana

Ab tu aaye
Baaho me meri
Yeh khaab toh mumkin naah hai

Par lagg jaaye
Khushiya tujhko meri
Yehi rabb se meri DUA hai...



Credits
Writer(s): Samarth Arora
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link