Khushnawees

Kaghaz hai jaazib hath mai
Jese syahi qalam ki jarihana
Jaari shuda mere gaane nahi
Fursat mile to hi sunne aana
Is gard o gubar k zulmat me
Zilat na dhoonda karun me
Zil k milne pe phr khauf kiun
Khud k hi zil se kiun darun mai
Meri khamiyon ka tazqara chalta yahan
Jese khud ye nayaab hon
Phr khud ko hi zarf deke kuch esa karen
Jinme dene ko jawab hon
Me to gunehgar me to ghaflat me
Dikhawe k mehboob k dilon me nafrat hai
Hasrat ye leke me chalti k kam esa karun
Jis se jo b mile wo sawaab hon
Na me zafaryaab na me nafees
Hai yaqeen khud pe main khush nawees
Daleelen du to kehne ko hai boht kuch
Me seedhi bandi dil ki raees
Me khud ko na pehchanu
Apne suqam bhi na janu
Kya raqam du zindagi ki
Me maut se pasheman hn
Me chahun k mere lab se nikle na jhoot
Par sach bolne pe to ye maar dete
Me chahun na aaye aanch lakhte jigar pe
Wrna haq k liye ham b jaan dete
Mithaas hai is duniya ki raton me
Haladat in logon ki baton me
Himayat nhi milti khaak-e-basar me
Khud hi chalna seekh lu ab me kanto pe
Me pukhtawaiz
Pukhtagi saboot hai
Irade hain mustehkam
Me khud ko dekhun aasmano pe
Ab dhoondenge ye sare ghaltiyan
Mere alfaaz main
Kiun k khoj k har lafz he nikla
Jese zewar samndar k khazano se

Talashun mein manzil ajab sa musafir
Mein sochon m ghafil, badan se mein hazir
Ajab zindagani ajab daur e hazir
Ajab c kahani sunanay mein mahir
Kahaniyan wo jo na milti kitabon mein
Sajdon mein sir magr khoon inky hathon mein
Majmon m majlis lgaty hazaron mein
Manzar ko naazir utaray hawalon mein
Khud se hi khud ka mein madde muqabil
Tatolun khudi ko, krnga kya hasil
Dimaghi khlal hai ya lafz horhe naazil
K kya hai jahannum jahan hona wasil
Thy qabil jb rutba mila tha muhafiz
Khazanay ki lalach mein hogye jo aajiz
Zmanay ki badbakhti ya kehlo saazish
K koshish ho rab k khazanom pe qabiz
Likhta hn sach jb bhi lafz mjhpe hasty
Ye meri lachari pe taanay hain kstay
Mukhatib mein jinse yahin tou wo bstay
K mehngay ye lafz or zameer unky sastay
Ye kese hain rastay ye kese hain zoq
Tabahi k rstay pe chlney k shoq
Zehni ghulami ka dalay ye toq
Ja rhe qafilay jok dr jok
Jo Bhonktay roz, or dortay roz
Ye kaatnay ki waja dhundty roz
Hum kaanton mein wfa dhundty roz
Phir kaanton m dawa dhundty roz
Pr roz mein jaagta le k umeed
Khud se hi krta hn guft o shneed
Khud ko tasalliyan deta shadeed
K mil jayegi ab mjhe bhi naveed



Credits
Writer(s): Eva B
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link