Bindiya

Jitni dafa tujhe maine
Dekha tha yu muskurate
Utni dafa chaha dil ke
Raaz tumhe hum bata de

Likhe jo geet hai tumpe
Kaash tumhe bhi sunate
Zulfo ki chhaao mai teri
Kaash kabhi hum aate

Tere maathe ki bindiya
Haathon ki choodiyan
Aankhon ka kajal
Hotho ki laali
Kehti hai mujhko
Jo naa mai tujhko
Keh paau ...
Naa keh paau

Likhu mai nagme yaa falsafaa
Izhaar kaise tujhko karu
Chahat ki apni yeh daastan
Lafzo mai kaise kaid karu

Roz Khwabon mai hamare
Tum yuhi chale aate
Fir bhi hamari dil ki awaazein
Tum nahi sun paate

Mujhko hairaniya hoti nahi
Jab raaton mai nazrein soti nahi
Dekha hai jabse nazron ne tujhko
Shamo subah yeh naa so paaye

Tere maathe ki bindiya
Haathon ki choodiyan
Aankhon ka kajal
Hotho ki laali
Kehti hai mujhko
Jo naa mai tujhko
Keh paau ...
Naa keh paau



Credits
Writer(s): Gaurav Pandey
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link