Khayal

Do saal pehle zindagi me sab kuch tha sahi
Do sal pehle khayalon me gum tha mai kahi
Do sal pehle mushkilon se ladne ka tha shounk
Do sal pehle Jahan tha ajj mudke aya vahi

Do sal pehle kuch bada karne ka zunoon
Do sal pehle neendon me milta tha sookoon
Do sal pehle doston se hoti thi baten
Ajj lighten hain off aur band rehta hai room

Patani kaise andhera ye ho raha hai mujhpe havi
Chalta tha akela koini sath tha zarabhi
Jitne bhi the gum sabko khud tak hi rakha
Ajj mai hu yahan dil me dard bhara kafi

Ek time choti cheze bhi karta tha celebrate
Ek time pe kam khata tha ke bad na jaye weight
Ab khud ki na hai fikar, dhyan rahe bas kalam ka
Lage jindagi ke safar me mai hua check and mate

Do saal pehle zindagi me sab kuch tha sahi
Do sal pehle khayalon me gum tha mai kahi
Do sal pehle mushkilon se ladne ka tha shounk
Do sal pehle Jahan tha ajj mudke aya vahi

Do sal pehle kuch bada karne ka zunoon
Do sal pehle neendon me milta tha sookoon
Do sal pehle doston se hoti thi baten
Ajj lighten hain off aur band rehta hai room

Chala aya door par ab dikhta nahi rasta
Sabse age rehta tha ab lage jaise last tha
Khass tha, har ek pal vo beeta jo khushi me
Kho chuka sab, jo shuru me mere pas tha

Mujhe hi pata hai kitni baar gum chupaye maine
Mujhe hi pata hai kitne sath hain gavaye
Ek time pe kuch logon ko mana tha maine bhai fir
Mujhe hi pata hai kitni baar dhoke khaye maine

Shauq sare khatam, dukh bana rishtedaar
Maut jaise cousin, khushiyan hain tadipaar
Pata nahi chal raha kis mod pe khada mai
Subha uth ke karu raat hone ka intezaar

Yahi meri wish ke jaldi beete ye daur
Pehle khudpar tha yakken, aur ab khud se khud ki war
Vo bhi yahi kehti thi ke badal gaya hai tu
Par jane do, uski baaten kabhi aur

Do saal pehle zindagi me sab kuch tha sahi
Do sal pehle khayalon me gum tha mai kahi
Do sal pehle mushkilon se ladne ka tha shounk
Do sal pehle Jahan tha ab mudke aya vahi

Do sal pehle tha kuch bada karne ka zunoon
Do sal pehle neendon me milta tha sookoon
Do sal pehle doston se hoti thi baten
Ajj lighten hain off band rehta hai room

Jab bhi likhu verse to kalam se nikle aag
Jaise hath me hai machis aur bhatere panne rakh
Dimag se kitab pe utaru mai jasbaat
Chahe chereh pe ho dard ya fir lal meri ankh

Teri bucket list ke pani se bhi gehere mere khwaab
Sawal dil me kafi hain par mil nahi rahe jawaab
Ye Rap hai ek hole meri zindagi ke door pe
In shabdo ko samajhkar us par ko tu jhank

Kyo karu kaam jab us kaam me fitoor nahi hai
Khud pe bharosa to fir manzil lagti door nahi hai
Chalta akela to khehte ise gurur nahi hain
Duniyadari ati par niyam ye kobool nahi ha

Kyo karu kaam jab us kaam me fitoor nahi hai
Khud pe bharosa to fir manzil lagti door nahi hai
Sapno me zada, sharab me surur nahi hai
Vaise to has raha par chahere pe vo noor nahi hai



Credits
Writer(s): Samar Jeet Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link