Why

Teri mehfilo mein hum na ho ge
Lagein gi thokarein zakham na ho ge
Suna tou dein tujhay ab haal e dil ye
Par Baant ke bhi gham tou kam na ho ge
Tou likhne do mujhay ab hijr ki un dooriyo'n pe
Kya tum parho ge marsiye meri majbooriyoo ke
Ye jaltay diye rahay gawah us afsurdagi kay
Iske sirhanay kitnay jaam mein ne piye ho ge
Diye dard tu ne, waise dard he nai
Cold world, ye dunya mujhse jalti rahi
Par is qalam ko nai zawaal ye tou chalti rahi hai
Karti hai kamal ye bhi Likhti hai sawaal tumse

Why do you do this to me
Why you (Why You?)
I know tum meri nahi
I do (I do)
Why do you do this to me
Why you (Why you)
I know tum meri nahi
I know tum meri nahi

Lamhay thehray hue jaanay na den
Ghadi udaas, lage pyaas wo bujhaane na de
Lahu itna garam k ye kaghaz ab bahanay na den
Wuhi phool kaantay, jab jaagay tum sirhaane na thay
Dhundte thikanay ye awaaz meri goonjti
Sawaal kare tujhse kyun ab haal bhi nai puchti
Ho chuke behaal, tou woh mere baaray sochti
Kalam kamaan in lafzon ko kese rokti
Zulfon mai uljhay teri, shayari kia khaak karen
Mu pe anjan banay, fursat mai yaad karay
Zakhm ye taazay maslahat yehi na baat karain
Aaj bhi log in lafzon ke mohtaaj rahen
Kia likhu ab in faaslon pe
Shayad hi kabhi milengay phir un raaston pe
Bhatkay musaafir jee rahay hain tere aasron pe
Karoge tum bhi yaad jab bhi saans lo ge

Why do you do this to me
Why you (Why you)
I know tum meri nahi
I do (I do)
Why do you do this to me
Why you (Why you)
I know tum meri nahi
I know tum meri nahi

Abhi farmaan aya hai wahan se
Ke hat jau mein apne darmiyan se
Samajh mein zindagi aye kahan se
Parhi hai ye ibaarat darmiyaan se
Zamana tha wo dil ki zindagi ka
Teri furqat ke din lau kahan se
Fala'n se thi ghazal behtar fala'n ki
Fala'n ke zakham achay thay fala'n se
Jalla do khat mere wo shayeriya'n raakh karo
Fursat na thi tumhein ab furqat mein yaad karo
Goonjay har taraf ab meri meri he khamoshiya'n
Tum dheemay lehjo mein ab bin kahay baat karo
Jab ho sakay tumse tum kardete sab faramosh
Ye dil samandar ispe maujo ka aik bara bojh
Mein rooh posh, ye industry nai meri dost
Na mujhay uska nasha, na usay mera hosh

Why do you do this to me
Why you (why you)
I know tum meri nahi
I do (I do)
Why do you do this to me
Why you (Why you)
I know tum meri nahi
I know tum meri nahi



Credits
Writer(s): Talha Anjum, Talhah Yunus
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link