Ek Parinda

Aisa na tha ab ye haal jo
Man ke sheher me yun gumshuda
Khilta subha, rangeen shaam
Pheeka pada khushiyon se juda

Ghabraya dil, ajnabee manzil
Roke koi kyu use

Karta tha kabhi jo hawaon se baate
Jazbaaton ke phool khilte the muskurate
Laapata is bheed me wo ek banjare sa
Ho ek parinda jo khud me kaid sa

Tham sa gaya ye behti hawa
Bejaan pankhon ki jo he dawa
Khamosh kyu kuch to tu bol
Banke sitare raahe tu khol

Ghabraya dil, badale sahil
Aasmaan kahe Dhire se

Kitna bhi ho muskhil tera safar
Sapno pe na ho koi bhi asar
O re panchi tu ab na maan haar
Manzil ye kar rahi tera intezaar



Credits
Writer(s): Soukumarya Datta
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link