Beete Lamhe (feat. Avanipriya Soni)

Raatbhar yaado me teri
Aur rakhi thi jaan ko naajuk hatheli me
Tujhe basa lu mai saaso me meri
Sirf nikle jubaan se jo baate wo gehri

Salakho me kaidi, ab milta nai chain
Dooriya ab mujhse hoti nai sehen
Gum teri yaado me, nam mere nain
Vada hamesha ka tha lekin khair

Saza de di jindagibhar ki
Maana kisi ki na galti
Tu na rahi mere saath jo
Shayad us hi ki thi marzi

Bas chahat thi rakhna sirf apna banake
Mai bachpan se tha baitha sapna sajake
Ab tera bina man nai lagta yahape
Rahu na rahu mai yaad rakhna hamare

Beete lamhe
Beete lamhe
Milta nai chain
Milta nai chain
Milta nai chain
Aati hai yaad wo

Beete lamhe
Beete lamhe
Milta nai chain
Milta nai chain
Milta nai chain
Aati hai yaad wo

Wo Kehti Thi le jana ghar mujhe
Wo Kethi nai rehta sabar mujhe
Wo Kehti Thi dena har pal mujhe
Wo Kehti andekha na kar mujhe

Aur ab jo rahi na to milta sukoon nai
Aur ab jo rahi na to dikhta guroor nai
Mai khud ke khilaaf, meri jung hai androoni
Kyu bana mai khud apne khaabo ka khooni

Ab shayad milengey ab hum dono marke
Ya agle janam me yu rooh meri tadpe
Wo chod gayi dard me bas yaad aaye lamhe
Dua hai khuda tujhe lambi umar de
Ab sarpe hai karze ye, kaafi hai boj
Tujhse bichad ke saza di hai maut
Ab bhi wafa mujh me baaki hai bohot
Par milta nai chain, satati hai roj
Wo Beete Lamhe

Beete lamhe
Milta nai chain
Milta nai chain
Milta nai chain
Aati hai yaad wo

Beete lamhe
Beete lamhe
Milta nai chain
Milta nai chain
Milta nai chain
Aati hai yaad wo



Credits
Writer(s): Gauresh Atmaram Kale
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link