Ghungroo (From "War")

Met the sun in the sand
And the sea in the night
And we're feeling alright
Yeah, we're feeling alright

Kyun lamhe kharaab karein?
Aa, galti behisaab karein
Do pal ki jo neend udi
Aa, poore saare khwaab karein

Kya karne hain umron ke waade?
Yeh jo rahte hain, rehne de aadhe
Do baar nahin, ek baar sahi
Ek raat ki kar le tu yaari

Subah tak maan ke meri baat
Tu aise zor se naachi aaj
Ke ghungroo toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

Chhod ke saare sharm aur laaj
Main aise zor se naachi aaj
Ke ghungroo toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

Dil lena, dil dena zaroori nahin hai
In baaton ke siva bhi baatein kayi hain
Ek lamhe se zyada ki khwahish nahin hai
Phir chahe dobara na milna kahin

Mere sapne nahin seedhe-saade
Hain ghalat-fehmiyaan toh mita de
Do baar nahin, ek baar sahi
Ek raat ki kar le tu yaari

Subah tak maan ke meri baat
Tu aise zor se naachi aaj
Ke ghungroo toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

Chhod ke saare sharm aur laaj
Main aise zor se naachi aaj
Ke ghungroo toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

Ishq hai aaj bas, kal karna bhi nahin
Dil mein theherna toh hai, par utarna bhi nahin
Mitna bhi hai kuch der ke liye
Poori umr tum pe marna bhi nahin

Kya karne hain umron ke waade?
Yeh jo rahte hain, rehne de aadhe
Do baar nahin, ek baar sahi
Ek raat ki kar le tu yaari

Subah tak maan ke meri baat
Tu aise zor se naachi aaj
Ke ghungroo toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

Chhod ke saare sharm aur laaj
Main aise zor se naachi aaj
Ke ghungroo toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

Toot gaye, ke ghungroo toot gaye
Toot gaye, ke ghungroo toot gaye



Credits
Writer(s): Vishal Dadlani, Rakesh Pal, Shekhar Ravjiani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link