Kaam Bhaari

Roz Jane anjane me kitne log kre h humko ghayal
Jo bante kayar jab jalte fire
Show kare two face we dont desire
Hai halke shayad
Imaan k andhe shayad
Ladenge humse shayad
Dekhlenge kitne shaatir na humse waakif kare inko ghayal

Lets take the level higher
Ye sare saanp jese ankh tairi kare
Pith piche jake baat apni kare
Bin nakaab ke hai nakaab pehne
Befizul se lage inko sare apne
Behisaab inke hisaab
Ye pal pal ki hai khabre rakhte

Khali panne h inki kitabe
Jo gairo ke khoon se likhi jate
Ye kanoon se gum inpe na koi dhara
Katal e aam kare shauk se fir kyu hume satate Bolo

Kisne inko haq diya ki humpe aanch uthaye ha
Chaar diwari apna ghar h kyu ye jhake jaye ha
Humne inko sar bethaya kyu na pheke jaye ab
Mehroom huye inke shaqs se fir nikle haye Haaa

Jane do
Kehne vale bahut kch kahenge
Muh pe bhai keh k mud ke gaali zarur bakenge
Tum aage badho to ye piche khichne puri kosish krenge
Par bharosa rakhna khud pe
Ye saale buzdil tmse kabtk ladenge

Khoob lade halaato se
Kafi doob chuke jazbaato me hum
Roop bane kankaalo se
Tabhi uub chuke angaaro se hum
Sawalo se hum
Ghire rehte ankhein na ho nam
Ab ye dhoke hote na hazam
Na hi bhata ab koi sanam
Na koi kasam

Khaye humne
Na li do raahe humne
Jo bhi kamaye humne
Sab h lutaye humne apno pe
Sataye kese
Ye hume rok paye kese
Ab chale hum cahe jese
Apni kahaani ye to koi aur likh jaye kese

Ab Chal de aage bhul k ye duniya sari
Bs dikhe apne kandho pe jo zimmedari
Ab jawaab dene ki h ye to apni baari
Kyuki sikka vahi chale jiska kaam bhaari

Kaam bhaari kaam bhaari kaam bhaari
Ab sikka vahi chale jiska kaam bhaari
Kaam bhaari kaam bhaari kaam bhaari
Ab jawaab dene ki hai ye to apni baari

Apni baari apni baari apni baari
Ab jawaab dene ki hai ye to



Credits
Writer(s): Taz Ahmed
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link