Kum Nasal

Shuru say mein shuru krun, khair!
Kis kis k hain mujhsey wair
Menay aazmaiye saarey KumNasal, Jin mein saanp say bhi zyada tha zeher

Yahan apney bhi luteray
Yahan apney bhi ghum deray
Yahan chand Hain apney thehray
Jhooto k hain Yahan baseray

Munh pe bhai bhai Jo kehray
Peet peechay behnain deray
Hum bachpan say ye sehray
Saanp Hain zyada kum hain saperay

Waqt say hay seekha menay Kon apna Kon paraya
Jissay lgaya dill usi nay q dill dukhaya
Q log bhooljatey Jo sath acha waqt bitaya
Kbhi dill toota jiska vohi hay yahan pe chaya

Pait ka khaya bhi logo k samney rakhdea
Apna smjh k KumNaslo k samney hagdea
Saanp margaye aasteeno k paida hogaye anaconda
Par in KumNaslo say bhi akela lara ye londa

Umar hay Kum, baal safaid hogaye zyada
Adha kata nai nay, baaki kaatley tu adha

Kia mein likhu, kia mein gaun
Dard apna kesay mein sunaun
Dunya k jis konay pe Jaun
KumNasal hr taraf mein paun

Sacha ye zamana nahi,Naya hay purana nahi
Apna KumNaslo mein bilkul guzara nahi
Hr banda dekhraha tamasha koi bachara nahi
Insaan nay apna haal khud say sudhara nahi

Ap tou dushman ho, aap meray dost nahi
Ap ho KumNasal apka ye dosh nahi
Apki chamri mein hum Jesa gosht nahi
Apko mein, samjhaunga ye roz nahi

Ap k kandho pe hum Jesa bojh nahi
Ap k dimaaagh mein hum jesi souch nahi
Ap mein rahi kbhi hum jesi khoj nahi
Apko menay kbhi dee koi kharoj nahi

Rap k chakkar mein kitnay rishtey naatey toray menay
Jo thay KumNasal boht peechay choray menay
Hr baat yahan Sach Sach boli menay
Likha hoshohawaz mein naah taapi koi goli menay

Kia mein likhu, kia mein gaun
Dard apna kesay mein sunaun
Dunya k jis konay pe Jaun
KumNasal hr taraf mein paun



Credits
Writer(s): Shaikh Haider
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link