Sapne Hazaar

Dil mai hai Sapne Hazaar
Palko ke taaro pe sawaar
Har lamha mujhko ye khayaaaal
Ye pure honge ya nahi
Dil mai hai Sapne Hazaar
Palko ke taaro pe sawaar
Har lamha mujhko ye khayal ke
Ye pure honge ya nahi
Manzil hai aage ya kuaa koi
Humko kisine kuch kaha nahi
Aage kya hoga ye pata nahi
Phir bhi hum chaldiye
Kaante bhare ho chahe raaste
Chalna hai mujhe mere waaste
Khwab haseen jo mere pass the
Tabhi toh hum chaldie
Dil ko tarasha hazaar baar
Aaya tabhi dil ko karaar
Rehta hai bus ab ye vichaar, ke
Ye pure honge ya nahi
Khoj andhero mai prakash tu
Khona nahi kabhi aaas tu
Baat samajh jaye kaash tu
Ye pure honge na tabhi
Kaante bhare ho chahe raaste
Chalna hai tujhe tere waaste
Khwab haseen jo tere saath the
Tabhi toh hum chal diye
Aaj nahi toh kal
Hona hai mujhko safal
Har lamha har ik pal, mujhe
Rehta khayal yahi
Dil ko tarasha hazaar baar
Aaya tabhi dil ko karaar
Rehta hai bus ab ye vichaar, ke
Ye pure honge ya nahi
Ye pure honge toh sahi
Ye pure honge toh sahi
Ye pure honge toh sahi



Credits
Writer(s): Himanshu Maheshwari
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link