Ghadeeri Hoon Mai

Ali imame man asto manam ghulame ali
Ali imame man asto manam ghulame ali

Haan ghadeeri hoon mai haan ghadeeri hoon mai

Hai jo shane wali hai jo shane nabi
Mera mola ali mera aqa ali

Haan ghadeeri hoon mai haan ghadeeri hoon mai

Zulm ne chaha har lamha ye shola bayani ruk jaaye
Ishqe ali ke daria me jazbo ki rawani ruk jaaye
Jisse mohazzab hoti hai nasle insani ruk jaaye
Ye baat magar na mumkin hai katti hai zaban to kat jaaye
Ye khun bhi unka shaida hai har qatra iska bolega

Kis pe lagate ho pahra ye zikre ali lafani hai
Pyar agar quran se hai ye baat bhi to quraani hai
Kab ye huye hai poshida ye zaat to maani jaani hai
Kis kis se ye nemat chinoge har samt ali ka charcha hai
Masjid ne kaha mimbar ne kaha mehrab yahi gaaye naghma

Kitna haseen hai khum ka manzar sab mil jul kar kahte hain
Vajd me aayate quraan hai jab ye payambar kahte hain
Zarre zarre kankar kankar haidar haidar kahte hain
Ailane wilayat hota hai kuch chehre nikhre nikhre hain
Kuch chehre tab murjhane lage jab deene mohammad ye bola

Jo bhi payambar karte hain allah ki marzi hoti hai
Jo bhi payambar kahte hain wo vahiye ilahi hoti hai
Sab paigham khuda ka hai kab apne dil ki hoti hai
Ye haq hai to phir iqrar karo haq goi ka izhar karo
Mankunto jo ahmad ne kaha darasl khuda ka hai kahna

Kon ye ishqe mola me sarshar dikhai deta hai
Haan ye hayate abadi ka haqdar dikhai deta hai
Daare sitam par misam sa jarrar dikhai deta hai
Ye zikre ali hai zikre ali jazbo ko jawani deta hai
Tum laakh zabane katoge har samt faza me gunjega

Hum hain ghulame haidar mola shane tawngar rakhte hai
Hum ko usi se ishq hai jisse ishq payambar rakhte hain
Bughze ali me jeene waale kaisa muqaddar rakhte hain
Jisko haidar se pyar nahi wo jannat ka haqdar nahi
Jannat bhi unhi ki aashiq hai darwaze par likkha hoga

Munkire haidar soch zara kya haal tumhara tab hoga
Dil pe qayamat guzregi ailane wilayat jab hoga
Manzare khum jalne waalo ko aur zara tadpayega
Mola mola haidar haidar sahra ki faza me gunjega
Ahmad ki nigahen dekhengi aur saath me too bhi bolega

Aao wasim is jashne wila me range wilai bharte hain
Zikre ali ke saaye me tajdeede ukhuwat karte hai
Farshe zami se aaj raza hum arshe bari par chalte hai
Ahsaan hai rabbe akbar ka ye ishqe ali jo hum ko mila
Wo waqt bhi ya rab jald aaye jab sara zamana bolega



Credits
Writer(s): Wasim Asghar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link