Malik E Ashtar Zindabad

Marhaba marhaba marhaba marhaba
Zindabad zindabad malike ashtar zindabad

Ek lashkar hai akela malike ashtar
Farmate the hamesha saqiye kausar

Pahle zaruri hai ye har momin ko samjhana
Mola ali sa mahire maidan tha na kabhi hoga
Hath yadullah jinke aur talwar hain saifullah
Paida huye us paak samandar se kitne daria
Ek daria hai unhi me malike ashtar

Tarikho me milta hai mashhoor hume qissa
Mulke sham me mola ne qasid apna bheja
Hasi udakar sham ka hakim usse ye bola
Malik nam ka haider ne ik murgh shutur pala
Katega sar ab uska shami khanjar

Bebaki se phir mola ka qasid ye bola
Ghaur se baaten ab meri sun aye ibne hinda
Apni fauj ki kasrat par hai naz tujhe beja
Malik nam ka murgh shutur hai mola ne rakkha
Chugta hai jo udu ko dana samjhkar

Malike ashtar jis dam ran me tegh uthate hain
Sare mukhalif khaime yun dar jate hain
Kuch to unke khauf se maidan me nahi aate hain
Aaye to maqtule malik wo kahlate hain
Jo bhagenge wohi bas pahuchenge ghar

Isse samajh lo malike ashtar kitne bahadur the
Ladte ladte khaimaye meere sham talak pahunche
Itne me mola ne kaha ek apne sahabi se
Kah do mera hukm hai malik fauran laut aaye
Malik pahunche ali ke paas palatkar

Wapas aakar malik ne daste mola chuma
Phir bole mai khaimaye meere sham ko chu leta
Aaya achanak hukme aqa wapas aane ka
Warna mai ibne hinda ko qatl hi kar deta
Hukme maula magar har shae se oopar

Qurbe khaimaye ibne hinda se wapas aana
Khula subut hai apne imame waqt ki taaat ka
Aao duaye aaj se ham bhi karte hain mola
Humko muteeye hadiye dauran kar de tu ayesa
Jaise ke the janabe malike ashtar

Mai batlaun malike ashtar aakhir kaise the
Pabande islam the apne qaul ke sacche the
Zulf ghani aur aankhe nashili gore naare the
Chauda seena ubhre baazu lambe qad ke the
Lagte the wo ameere hamza aksar

Ali raza irani ne shiraz se farmaya
Malike ashtar par tum ayesi manqabat kahna
Sunkar unki madha fauran samjhe ye dunia
Jo ho ali ka dahina baazu wo kaisa hoga
Kahta hoga jari sa shere ghazanfar



Credits
Writer(s): Shiraz Kalkattavi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link