Shehron Ki Galiyon Me

Shehron ki galiyon me
Hoon kya dhoondta
Khud ko nahi hai khabar
Khwabon ka sheher hai ya
Doobi lahar
Mujhko nahi hai khabar

Ye begharon ki bastiyan
Ya hauslon ke ghosle
Yaha raat ki hai chandni
Ya pighli si koi os hai
Aaya ki khidhar se?
Jaana hai kidhar ko?

Shehron ki galiyon me
Hoon kya dhoondta
Khud ko nahi hai khabar
Ye Khwabon ka sheher hai ya
Doobi lahar
Mujhko nahi hai khabar

Ye sheher hai
Uljhano sa
Raasta bhi tej hai
Waqt bhi hai
Bhagta sa
Humrahiyon ki race hai

Yaha chalti kahani
Rukti kahani
Puri kahani
Adhoori kahani

Shehron ki galiyon me
Hoon kya dhoondta
Khud ko nahi hai khabar
Khwabon ka sheher hai ya
Doobi lahar
Mujhko nahi hai khabar

Yaha raste hi ghar ho jaise
Aasma hi chhat ho jaise
Taaron se hai roshni
Raatein humsafar ho jaise
Shaamein berangi
Yaadein hi shahar hai

Shehron ki galiyon me
Hoon kya dhoondta
Khud ko nahi hai khabar
Khwabon ka sheher hai ya
Doobi lahar
Mujhko nahi hai khabar

- Pragya



Credits
Writer(s): Pragya Shahni, Pravesh Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link