Confession

Kaafi aalag kaafi badal mera scene tha
Hara kismath se hustle pe yakeen tha
17 pe dekha boht bada ek dream tha
Soya nahi tabse aankhon main neend kaha
Yahi khwaab jagaye har raat mujhe naam hoga mera aisa main sochta
Ek saal pehele jabhi shuru kiya
Sach kahu i wasnt that focused
Dheere dheere mujhe hua ahsaas likhta rahunga toh banunga main khaas
Boht kuch hai baaki mujhe bolne do maut se pehele kyu na khole kuch raaz
Sun
Yeh hai kahaani ek ladke ki
Jisko dar tha ki maa uski bhadkegi
Asliyat se door voh bas laga raha ek din
Kismath uski badlegi
Par voh asal main ek sher tha
Asli dahhad toh chupa uska lekh tha
Mudke main ab un palon ko hoon dekhtha
Raat guzaari likhe gaane mene der tak
Yeah
Sabke hisse main likha bura waqt
Bas mene dard ki kahaaniyan banayi
Phir dil bola gaa
Par mujhe nahi banna tha koi Honey bhai
Pune 40 ki sadako main palla
Bhalla pehele mera tu baadme aa bhai
Mere alawa bhi hai boht gaane wale par meri liye yaha koi nahi
Mat soch ki tu haar jayega koshish kar unki har kabhi hoyi nahi
Agar galti se main haar gaya toh bol dena ki main aakhir tak lada tha
Shuru karunga wapas wahi se jaha pe ek saal pehele khada tha
Khada tha main pehele aur aaj bhi
Dhund raha har khoyi hui chaabi
Darvaaze nahi khule
Mile boht saare dhoke
Mene manga tum doge
Ek liya dugna kiya
Tabhi kehete hum hai dogale
"Aakhir kaun hai yeh jo aake kehede mujhse ki tu rokde"

Jabhi likhu kam hota mera bhoj
Main hi dushman main hi mera dost
Ek aur baar dil bhar gaya
Kab tak aise chalega roz

Likhna meri qalla thi
Yahi banna har dard ki dawa bhi
Kayi saal apne aap se main door tha
Aaj jo hoon hai vajah is qalla ki
Sun
Janna kidhar rasthe se main anjaan
Logo ne kasar nahi chodi to bring me down
Par un chutiyon ke haath kuch laga nahi main kalakaar bana
And i'am more than proud
Afsoos nahi jo bhi maine khoya
Phir chahe dost ho ya purane rishte
Voh raat nahi jaha bina likhe soya
Kabhi mil sunao tujhe kisse
Mujhe bata boht kam log hai khush aaj
Harkaate meri school ka gira tha naam
Main bhi gira tha mujhe bhi aayi choot
Marham aaya sallon ka baad banke inaam
Shayad iske main layak bhi nahi tha
Ya shayaad ha
Main nahi keh sakta
Bas jabhi mere haath main qalam
Main likhu har unkahi baat
Boht muskhil hai kabhi sirf baat karna
Aur nahi karna usse bhi zyada
Haar bhi thak chuka Mujhe harakar
Main nahi thaka
Main nahi harra
Bin bulaaye mere pass yeh aa jata hai
Aur jab bulao toh yeh aata nahi
Khoon choosri hai mujhse yeh duniya
Sabak sikhane wala iska koi pappa nahi
Pappa toh mera bhi nahi chodke chala gaya
Sahi salamat aaj kyu ki maa ki daya
Ab mera bhi hai farz kuch unki taraf
Main kuch banu
Yeh tha mera bayaan
(THIS IS MY CONFESSION)



Credits
Writer(s): Anush Punjabi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link