23

23 umar mai baitha hu ghar pe lage ye bojh sa
Kya tujhe khabar aab har koi khaane ke saath taane bhi parosta
Mai rakhu sabar magar ye dil mera kabhi kabhi sochtaa
Jab raaho pe bhatkane walo ho zyada toh mushkil hai manzil pe pohochna

Mai kar dunga ye mai kar dunga wo
Likhta nahi hu main aab
Mehenge bana raha shabd
Samajhne se pehele aukaat bana aab
Mujhe jaante hai sab par aab tak koi jaanta ni mera sach
Hu mai naastik
Bas apno mai dikhta hai mujhe mera rab
Aur yahi sach ki main kamzoor tha
Ladhna chodhke bana tha mai rotada
Choti choti baato pe koosta
Mil jaye mujhe maut harpal tha main sochta
Paisa toh bohot tha
Ghar pe kalesh dekhta mai roz tha
Music bachpan se hi shauk tha
Padhai naa kari toh baap dhamki deta tha maut ka
Tune dekha hai mujhko
Cheeze kharidte hue
Tune nai dekha hai bro
Uun cheeko ke daam kya lage
Maa ke aansuo ko dekha tabhi iraade bhi majboot hue
Chehere pe dikhaya nahi jo aajtak aaj wo sab kehene de mujhe
Inn aankho ne dekha hai dard kitna
Tujhe pata bhi hai kyaaa
Tabhi mai muskuraata hu jab puchta nahi wajah
Uske baad naa le saka koi dil mai uski jagah
Naa maanga tha jism dua thi bas degi wafa

3 mahine ka tha jab
Peheli baar face kari death
Pohochne mai hui thi deri
Sabhi ne kaha its too late
Aankhe hoo chuki thi band toh raha kisiko bhi faith
11 dino baad aankhe khuli 15 saal baad it repeated again
Aur ye bhi hai sach
Mai shayad se kal hi mar bhi jaau
Bas yahi hai dar ki
Jo bhi ho aisi naa maut mai paau
Toh lage fikr khudhko itna kaabil banana mai chahu ki rahe zikr
Mere kaam ka agar mai chala bhi jau
Toh likhu naa gaane aab
Likh raha hu zindagi
Khudse kare hai vaade
Unhe pura karne ki hai zidd bani
Kayi baar socha maine
Shayad sahi hai khudh khushi toh khudh ke khushi keliye
Maine bhi bas raha ye chun ki
Bana musafir main
manzil ka koi pata nai
Aankho mai leke unoon mai chalu toh kisi baat khata nai
Par dil mai kahi na kahi
Hoti thodi pareshani ki aaj tak
Ghar pe dena naa paya kuch karke kamaiyi



Credits
Writer(s): Peak Music
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link