Kash

Kassh mai hota unn sapno mai
Jaha rihste na tole hum rakmo se
Kaash mai hasta unn rasto pe
Jaha roti hai aankeh ye tukdon mai

Kash mai karr skta baatein
Toh jagta na puri ye raatein
Kassh ye paise se milti jo khushiyan
Luta deta mera fir sab kuch kamake

Kash bachpan mai hota na zagade
Unn yadon ko dil mai basake mai hass deta
Kassh sapno ki hoti na rakme
Toh sapno ko jike mai duniya se chal deta

Kaash mai reh skta khudke karib
Toh rehta mehfuz juda hota dil
Kaash mai seh skta apno ki baatein
Wo rishte bane hote ab bhi karib

Kash andhero mai hum dekh paate
Andhero mai rehte wo shayad bach jaate
Kash na hote insan toh
Duniya mai rehti bass khushi
Na jang ki awazein
kash bhagwan se mai ladd pata
Mujhse behtar koi beta mai maa ko dilata
Kash ye khwaish bass puri ho jaye
Hume ansu nahi sirf ye barish bhiagye

Kash na hote zhakham
Na hote ye waadein bhi khatam
Kash mai kaid na hota in kamro mai
Hum udte asman mai befikr

Kash koi keh deta
Kal ki wo baatein
Hum jite mehfuz aaj ki raatein
Kaash bhari hoti dil mai ye dhakan
Toh smjh jaate hum bhi wo dil ki ye baatein

Kaash jikr uski naamo ka hota
Kaash is gane dard he na hota
Kaash majbur ye halat na hote
Kaash mai kaash khayalo mai rehta

Kash ye silsile yun he tham jaate
Hum tujhko aaj bhi chate
Kash ye nafrat tujhse hatt jaye
Fir sham wo hum saath bitaye

Kaash mai khwabo ko pure karr deta
Kaash zamane se mai ladd;leta
Kaash yakeen takdeer bann jati
Kash teri yad na mujhko stati

Kash hum sab hote khush
Hum sab hote khush



Credits
Writer(s): Gaurav Jaiswal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link