Vinati Nahi Vinaash Hoga

Swapn ek vifal hua hai,
Tere sath aisa chhal hua hai
Jeene ki aas lupt hai
Kaaran bhi upyukt hai
Pratishtha pe teri ghaat hua hai
Sthir jeevan mein utpaat hua hai
Thehra nahi ye vaaky ek sthaan par
Samagr sansaar mein iska samwaad hua hai
Jahan jaaye wahin pe shoshan
Cheer ko cheerte hazaaron lochan
Samaaj ne pankh tere kaatey
Charitra ka pramaan bhi
Wo hi baantey
Anyaay tere sath hua
Rakht kyu nahi ubal raha
Doshi koi aur hai
Tu kyu hain jal raha
Par Kya karegi tu
Aisi mili jo hai siksha
Paap karega Raavan
Sita degi agnee pareeksha
Kyu niraash hai
Ab rone ko rakha kya hai
Sab chhin toh gaya hai
Ab khone ko rakha kya hai
Dhundh hai abhi
Par Chakshu khol
Yojna bana rann ki
Kisi se kuch mat bol
Koi tere liye nahi hai aana
Swayam hi swayam ko paar le jaana
Na Krishna aayenge na koi Raam
Tu khud hi khud ko thaam
Tu hi hai yodha
Tu hi hai saarthi
Tu hi hai teri sena
Tu hi hai maharathi
Vyooh jo racha hai paristhiti ne
Todna tujhe hi hoga har stithi mein
Dwand toh hoga
Par khud se khud ka hoga
Jo tu kal tha
Ladega usse
Jo tu kal hoga
Kyu ashruon se ye aankhein rang di
Abhi likhni hai iss kaavya ki antim pankti
Koi madad ko aayga, aas pehle hi kam thi
Vinatiyon ki bhi samaapt ho gayi hai ginati
Isliye ab chhod de tu vinati
Kyunki, vinati nahi ab vinaash hoga
Vinati nahi ab vinaash hoga
Adharmiyon ka sarvnaash hoga
Udaarta nahi, krodh hoga
Chama nahi, pratishodh hoga

Diye nahi the uttar kitne varshon se
Ab uttar dene ki teri baari hai
Ye uttar teri kirti se hoga
Yash jo khoya hai,
Uski praapti se hoga
Sansar mein teri sweekriti se hoga
Usi din iss rann se bhi avkaash hoga
Tere vyaktitva mein chamakta prakaash hoga
Jeet se sugandhit har ek swaas hoga

Vinati nahi ab vinaash hoga
Vinati nahi ab vinaash hoga



Credits
Writer(s): Pravesh Siddhu
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link