Amar

Ghar sambhaalne ko hi to ghar se dauda aaya tha
Socha khud ko poora baant doonga duniya mein
Magar main ghar se thoda aaya tha
Laga ki bujh jauga, Magar meri khoyi kahaniya
Aaj bhi andar se sulag rahi hai
Ye sansaar barf sa jamta hi ja raha hai
Aur meri sanson mein kasak badi hai
Maya se bhari kaynaat mein meri tapan
Alag khadi hai, bhabhak rahi hai, tadap rahi hai
Duniya ki damak ko chhod ye laptein meri rooh par
Basar kar rahi hai
Meri ye kala hi mujhe ek din khatm kar degi
Meri ye kala hi mujhe ek din khatm kar degi
Magar jise bhi chhu rahi hai
Use Amar kar rahi hai



Credits
Writer(s): Prayag N Mehta, Rishab P Joshi, Nitin Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link