Abbas Aur Ali akbar

Ek shabihe nabi ali akbar
Ek shabihe ali abbas

Ghar me zahra ke be misl hai do jawan
Ek shabihe ali ek shabihe nabi

Ek haider ki jaan ek sarwar ki jaan
Ek shabihe ali ek shabihe nabi

Ek abbas aur ek ka akbar hai naam
Naam me dono ke hai alihissalam
Hain ye dono fazilat ke do aasman

Dono ki parwarish bibi zainab ne ki
Fatima se mili tarbiat inko di
Ek hai shane wafa ek hai shane azaan

Ek ko rab ne diye hain ali ke kamal
Dusre ko mohammaad ka husno jamal
Jinka saya hai abre karam saayebaan

Hur ne ki aake jo shah se milne ki baat
Khair maqdam kia laaye izzat ke saath
Ek mahman ko shah ke do mezbaan

Ek qamar hai to hai dura bhi qamar
Fatima ka hai ek ek hai shah ka pisar
Ek hai shere jari ek hai shirin zabaan

Ek ke naize mein teghe ali ke hunar
Ek ki talwar hai zalimo pa zabar
Jinke hamle subuk se hai kohe garan

Ye haqiqat hai koi kahani nahi
Is jahan me koi jinka saani nahi
Wo mere rahnuma wo mere paasban

Jinke shaidan hain insaan huro malak
Husn ka jinke sadqa hain najme falak
Fakhre yusuf hain ye nazishe do jahaan

Mahdi mazhar raza door ho saare ghum
Hum pa karde jo ek baar chshme karam
Motbar ghar ki ye motbar hastiyaan



Credits
Writer(s): Mazhar Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link