Mera Badshah Hussain Hai

Badshah Hussain
Shahenshah Hussain
Deen pana Hussain

Yeh baat kis kadar haseen jo keh gaye moinuddin
Ke deen ki panah hussain hai, mera hussain hai
Mera badshah hussain hai

Aman ka mehromah bhi
Joh shahon ka hai shah bhi
Aisa badshah hussain hai, mera hussain hai
Mera badshah husain hai

Kare koi joh hamsari kisi ki kya majaal hai
Hussain har lihaaz se jahan mein bemisal hai
Yeh ho chuka hai faisla na koi dusra khuda
Na koi dusra hussain hai, mera hussain hai
Mera badshah husain hai

Hidayat-e-hussain par amal karo aye mominon
Rahenge hum bahisht mein yakeen rakho aye mominon
Qubool hogi har dua kisi se kyun darein bhala
Hamara waasta hussain hai, mera hussain hai
Mera badshah hussain hai

Qaza ke baad phir mujhe nayi hayaat mil gayi
Azaab se itaab se mujhe nijaat mil gayi
Sawal jab kiya gaya hai kaun tera paishwan
Toh maine keh diya hussain hai, mera hussain hai
Mera badshah hussain hai

Shaheed e karbala ka gham jisse bhi na-gawaar hai
Wo bad'amal hai bad'nasab ussi pe be-shumar hai
Arey oh dushman-e-aza tu mar zara lehed mein jaa
Pata chalega kya hussain hai, mera hussain hai
Mera badshah hussain hai

Hay jis ki fikr karbala hussain woh dimaagh hay
Yeh panjetan ki aanjuman ka paanchwan charaagh hay
Hasan ka pehla hamsafar Ali ka dusra pisar
Imam teesra hussain hay, mera hussain hai
Mera badshah hussain hai



Credits
Writer(s): Ustad Jarchvi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link