Chehre (feat. Taimour Baig)

Jaane ka main naam loon, tu haath mera thaam le
Jo ho zara tu be-sukoon, mujhe aaraam na mile
Hawaaon mein main dhoondta hoon tujhko yoon kuch is tarah
In saanson ki ummeed, teri khushboo inse aa mile

Ummeed meri aaj, par hai dekha kis ne kal
Hai meetha tera lahja jaise ho sabar ka phal
Jo likkhi maine dooriyaan wo sah raha hoon aaj bhi
Ab is adhoori daastaan pe likkhi kitni shaa'iri

Main khud bhatak chuka, par teri ye zid na hili
Gham itne gahre mile, jaise gham ho saahili
Aur wo samajhte, humne sahe nahin zara bhi gham
Ghamon ke sahaare pe karte tujhpe shaa'iri

Shahzaade apne ghar ke, tere dar pe ro pade hain
Raahon mein hain kaantein, nange paaon chal pade hain
Na pooch, humko kya hua, tu de-de humko bas dawa
Baha mat aansu saamne, Khuda ka waasta, tu ja

Chehre ye tere badalte hain kaise?
Ab inke aasre pe kab tak thahrein?
Baha de mujhe aansuuon mein hi
Kyun hai nahin yaqeen ki tu saath nahin?

Maanga Khuda se tha hans kar, zamaane se maangoonga ro kar main
Rota hoon tanhaaiyon mein, hansaata hoon sab ko, kya joker main?
Dega jab thokar zamaana to aansu kya mere tum ponchhoge?
Meri talaash mein dar-badar ghoomoge, khud ko bhi kho doge

Diye hain dhoke bhi maine, par mera bhi ye dil toota hai
Ukhda nahin rahta main tumse, ye shakhs to khud se bhi rootha hai
Chhoota hai tera dar jab se main khud se mila hoon, mila hoon main Rab se
Ajab se hi haal mein dooba hua hoon, tu mujhko na chhedo, main toota hua hoon

Tu ne hi saaf kiye the ye aansu, aur tu ne kaha tha ki rote nahin hain
Tu ne kaha tha, "Sambhal ke, ye duniya hai, rangeen rangon mein khote nahin hain"
Dhoondega mujhko yahaan kaun, hai wajah ye saaf ki khud ko hum khote nahin hain
Ro raha aaj bhi yaad mein teri, ye aansu gawaah hai, ye ponchhe nahin hain

Likhne jo baithoon to girte hain aansu, sawaal hai mera, milega kahaan tu?
In ashkon ki mahfil mein baithe zakhm hain aur thahra hai dard, aur dard ki dawa tu
Likh liya haathon pe naam to tera, par qismat mein likhta main kaise? (Kaise?)
Padhta tha chehra main tera, ab chehra badal chuka, padhta main kaise?

Chehre ye tere badalte hain kaise?
Ab inke aasre pe kab tak thahrein?
Baha de mujhe aansuuon mein hi
Kyun hai nahin yaqeen ki tu saath nahin?

Ye gaana hai, shuru se aaj tak dekhe jo maine hain chehre
Ye gaana hai, shuru se aaj tak masle zindagi mein aaye jo mere
Aye Khuda, jo liya hai tujhse main kaise lautaaunga, sochoon main raaton mein
Karta hoon pyaar, main kaise bataaunga, sab pareshaan ki gaata hoon gaane mein

Ye sab apne aap ko kho rahe, chehre pe hansi, par andar se ro rahe
Dil-o-jaan se jo vaade hain tode, to vaade karna maine jabhi hain chhode
Jo bhi kahta hoon soch ke kahta hoon, mahfilon mein ab chup-chup sa rahta hoon
Aur nashon mein dhoondoge kahaan tum, jaam pee ke mai-khaane mein baitha hoon

Aur dil mein ab bhi teri jagah hai, takleef phir kaisa mehmaanon mein
Janaaza uthe tere ghar se, hum soyem manaayeinge mai-khaanon mein
Sab likha hai dil se aur bol chuke, aur kitni kitaabein hum khol chuke
Jo kahna tha kah chuke, dost, hum qalam aur kaaghaz ki hurmati bhool chuke

Qalam ka likkha hua mite na kabhi, diye jo dard tu ne hate na kabhi
Par ye kaise dard jo diye, suna ke bhi bate na kabhi
Kaise hum haareinge jang, koi apne maidan mein dare na kabhi
Aur kitne maaroge tum, amrit peene wale mare na kabhi

Chehre ye tere badalte hain kaise?
Ab inke aasre pe kab tak thahrein?
Baha de mujhe aansuuon mein hi
Kyun hai nahin yaqeen ki tu saath nahin?



Credits
Writer(s): Ahad Khan, Taimour Baig, Raffey Anwar, Usama Ali
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link