Laalsa

Shuruat ki chal kar baatein
Shuruat se samjhau tujhe kaise pehle ke pal kaatei
Maun rehkar dekha inn aankho se
Kaise sapno ke apno ne hi par kaatei
Khudse baat kar khudke mann mei jhaank kar
Ujaale se andhkaar mei seekha maine aakar
Kabhi mai roshni mei kabhi andhkaar mei baitha
Fir ye baat saaf hui kuch milega nahi bhaag kar

Paar kar apni seemao ko laang kar
Dekhi kaisi duniya acchaiyo ka chashma saaf kar
Aankho par patti bandh khudpe hi bharosa rakh
Kooda ek khai mei jisko dekha bhi nahi naap kar
Jeeta raha dhokhe mei ye sochke ki saath hai log
Sab gaye apna kaam nikaal kar
Kaafi pehle hi ye mai samajh gaya tha ke
Insaan ke chehro mei ghoomte yaha jaanwar

Ye guroor kis kaam ka
Aapsi bad raha faasla
Aise kyu tadapti aatma
Faili yaha sabmei kyu laalsa

Ye guroor kis kaam ka
Aapsi bad raha faasla
Aise kyu tadapti aatma
Sachh ka shayad fir kya hogaya khaatma

Mann mei basa jo darr hai toh
Bharosa karna nahi
Khudka sirf kyu sochte
Sochte kyu na hojae kaam sabka sahi
Pehle se dekhta aarha aapsi mautein
Ho rahi aur wajah hai taj
Ab toh koi haskr baat karle toh
Lagta mujhe ek miraj

Jinko rakha tha saath
Kehta tha pehle se jaan mere
Par fir unhone hi toh
Manthra banke kaan bhare
Zindagi bhar jiske liye kari thi mehnat
Aaj lagta voh bhram
Zindagi di thi jis sapne ko
Ek hi raat mei sab hua khatam

Pyaar bhari baaton mei ye kaise vish chupa jaate
Andhere se zaada maine dukh mei hai kaati raatein
Jaane lagi wahi jo the sabse kareeb mere
Rahe jo bhi saath mere baithke sirf faaida lere
Mera saath bina diye unka kaam mujhe kehre
Saamne saare yaar ban peeth piche gali dere
Itna bhi toh kaafi nahi nabz meri daba dere
Toh mai puchta khudse ki

Ye guroor kis kaam ka
Aapsi bad raha faasla
Aise kyu tadapti aatma
Faili yaha sabmei kyu laalsa

Ye guroor kis kaam ka
Aapsi bad raha faasla
Aise kyu tadapti aatma
Sachh ka shayad fir kya hogaya khaatma

Sachh ka shayad fir kya hogaya khaatma

You know me
TFR!

Shuruat ki chal kar baatein
Shuruat se samjhau tujhe kaise pehle ke pal kaatei
Maun rehkar dekha inn aankho se
Kaise sapno ke apno ne hi par kaatei
Khudse baat kar khudke mann mei jhaank kar
Ujaale se andhkaar mei seekha maine aakar
Kabhi mai roshni mei kabhi andhkaar mei baitha
Fir ye baat saaf hui kuch milega nahi bhaag kar

Paar kar apni seemao ko laang kar
Dekhi kaisi duniya acchaiyo ka chashma saaf kar
Aankho par patti bandh khudpe hi bharosa rakh
Kooda ek khai mei jisko dekha bhi nahi naap kar
Jeeta raha dhoke mei ye sochke ki saath hai log
Sab gaye apna kaam nikaal kar
Kaafi pehle hi ye mai samajh gaya tha ke
Insaan ke chehro mei ghoomte yaha jaanwar



Credits
Writer(s): Sanidhya Pimple
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link