VVV (Intro)

Rahul hai naam, shuru kara tha jab 16 umar thi
Mila dosto ko thoda sa sath, baaki hassi udate the hunar ki
Share ni kare gaane unki marzi, apne pachtavo ki banali arthi
Piche mudke dekha tabse ni, jabse rato me meri subah badal gayi

Aaya aage kese ek ladka
Jiska 100 rupay se kam jeb kharacha
Aim uska hai bus great banna
Chadhna usse bus stage par tha
Itni mehnat kari bina kisi approach aaye top delhi ke
Ha main hu lower caste par
Punchline king banke betha hu main merit se

Aur
Jitne nikle mujhse aage unke liye baje taliyaa
Jo girne lage unhe hath diya, maine ne jo bhi kamaya vo baat diya
To fir kese puche ye maine vapas kya diya hai is culture ko
Nikala sabne jabki matlab to
Sharafat nadani antar bohot

Main ni betha rakhke hath pe hath
Kara hai kaam pe kaam, diya jawab pe dhyan
Bana main aaj nawab, pehle the aam sa naam
Bhadi hai jaan pehchaan, kardo aaj aelaan

Kyoki ye he meri debut album
Jitno ne kaam kara ispe thank you well done
Har gaana bana great jaise Alexander
Tum chahte the kuch naya, main hu answer

Kahe chodhde rap hai dum nahi par nahi ye rukegi pencil
Khud kari hai shuruat khud hi likhunga ending
Aesi kari baatien sabko lagti genuine
Ghar bani mera ye instrumental
Jaane bade log bina label independent

In gaano me kare tumse bade vaade jinhe tod jaunga nahi
Collab ke liye ready jinhe laga tha level pe unke aaunga nahi
Badi videos bana main paunga nahi
Khushi Jeet ki apni manaunga nahi
Rap se kabhi kamaunga nahi
Itna time ni ki samjhaunga bhi

Ye album nahi, ye work of art
Par khudse ispe humko naaz
Hum aage badhe he mann ko bhaap
Dukh hoga hume kal ko na
Aaye yaha pe ghamand ko taap
Ye meri zindagi ka pehla chapter
Padhlo aaj
Smoke



Credits
Writer(s): Smoke
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link