Gardish

Kaatu mai Samay vo saath
Baatu pal lage kharab
Gehri us gardish mai khota jaa raha
Taaku baarish mai Apnon ki awaaz
Apne mai rehna hi Chahu
Sabko haan Kehna bhi Chahu
Gharwaale Bole jaage kyu raaton ko
Khichey vo chaand sagar ki baah hu
Tarse rehne ko akele
Chahe ab saath ko bandish tu kehle
Barse kab bondey paani ki
Bandish mai jeeke hi sehle
Manushya nirbar bas saath ka
Akelepan lagta bezaar sa
Bulate bahar lagta mujko han vyraath
Ye kamra hai meri mazaar sa

Sadak bas dekhi
Parakh ke teki
Kamar ab inkaar ka unpe asar
Magar sansaar ka naa hi mai ansh
Sabar vidhwansh ab kabar vo munch
Maangi na Aaron ki chahat
Laangi apni soch rahat
Garam tasir jawaani ka josh
Afsoos kamiyabi unse upar ki khoj

Chala mera Rath kuchle sabhi ko
Ab brahma se takkar agar vishnu nahi toh
Paake rahunga jo Chaha abhi tak
Apne khwaab nahi aaj se iraade ghasito
Badla Samaj kadwa rang badde daag
Laadla Bhoomi ka naa ye bhang bas ye raag
Taaj rakhe aas naa chahat meri raaz
Ab chandan matthe par phir bhi Andar mere aag
Dhong Apnepan ka hai kuch nahi
Ab khush nahi tu apnemai isliye phir bhi chup sa hi
Ghutta hi dum tera roz fanda chubta hi
Rukta hi vo bojh jwala ka ye andar bujta hi
Ghuli khoon mai bottal Haan vo jo do
sukoon ghooma charas padke jo haathko
Ab charkavuh vishaal bandish khiche ye aor
Ab Gair hi lage Haan ab Apne ab mujhko
Baaki bache dard bhula dete vo raag
Ab naa nikle vo raag phir bhi dard ka vo swaad
Mai bhi na unka vaado se jakda mai
Sangat jaise sharab naa aata mai baaz



Credits
Writer(s): Somansh Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link