Saaya Freestyle (Bonus)

Pyaar aur maut mein zara bhi farak na dikhta in ankhon ko aaj bhi
Parchai vo dhundti apna hi ansh par kisi mein mile na saadgi
Ho maut naseeb, ye kauf kareeb har dard mein teri hi chaap thi
Roshni bhare iss sheher mein humein toh lagte bas dard hi afreen

Akela mein baitha toh dhundta subah se shaam ye rakh se raaz ko
Badalne ki chahat na kisimein sabki soch mein saaf samaj ho
Aaine toot ke dikhte hai bhot se main ab sach toh jaan lo
Warna milte ye jhoot ke saaye mein toh dikhti bas doori ke sath vo

Samadar hai gehra hai soch ka, doobta ussi rooz haan
Urooj ye dil mein main khojta, umeeden main roz batorta
Insaan ye jaante sabki hai ki unhi mein basti hai unki kathorta
Mere bhitar basta mera astitva vohi main chahta hun khojna

Raaten ab mushkil se kat ti aur din mein hai darr zawal ka
Dekhe jawab bhi itne ki, jawabon mein dikhte sawal haan
Aas badalne ki mujhi mein, aur hai soch badalne ki kaamna
Jab ankhon se ankhon milayi toh main hi khudi ke sath na



Credits
Writer(s): Devang Bhandari
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link