Intezaar

Aaj ek baar phir mai likhne hoon baitha,
Aaj ek baar phir mujhe aai teri yaad,
Aaj ek baar phir maine pakdi kalam,
Aaj ek baar phir dekha khali mera haath,
Aur mai karoon fariyaad, maangu phir tera saath,
Andhere se mai puchu voh sab sawalaat,
Aur Kaali uss raat me phir dekha khaab,
Ke tu mere saamne aur kare phir baat...

Abhi kal hi toh pal kuch saath bitaaye the,
Saath baith ke hamne gaane bhi gaaye,
Sajaye sapne apne kal ke hamne,
Duniya se do pal voh churaye the!

Fir hua kya?
Hue juda kyu?
Tune badla,
Apna khuda kyu?
Aaya naa kabhi tu lautkar,
Meri jaan aise muda kyu?

Kyu hue door?
Kya khata thi?
Kiss baat ki mujhko saza di?
Kyu apne andar rakhti thi,
Kuch baat thi toh batati!

Mere dil me teri jo yaadein hain,
Saanson ke saath hi jayengi!
Bina suraj ki roshni,
Kya ahemiyat rehti saaye ki!
Jeene ki vajah koi khaas nahi,
Fir bhi zinda mai rehta hoon!
Kyuki dil me ek awaaz hai,
Jo kehti tu ek din aayegi!

Abb sochun raaton ko baithe baithe!
Mere shabd bhi abb yeh kehte rehte!
Mere dil ka, hi hissa hai voh,
Dil se hi door use karoon kaise?

Aaj ek baar phir mai likhne hoon baitha,
Aaj ek baar phir mujhe aai teri yaad,
Aaj ek baar phir maine pakdi kalam,
Aaj ek baar phir dekha khali mera haath,
Aur mai karoon fariyaad, maangu phir tera saath,
Andhere se mai puchu voh sab sawalaat,
Aur Kaali uss raat me phir dekha khaab,
Ke tu mere saamne aur kare phir baat...



Credits
Writer(s): Yv Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link